na hai usko mujhse ghaflat na wo zimmedar kam hai
na hai us ko mujh se ġhaflat na vo zimmedār kam hai
pa alag hai us kī fitrat vo vafā-shi.ār kam hai
mirī hasrateñ miTeñgī mire ḳhvāb hoñge puure
mujhe apne is yaqīñ par zarā e'tibār kam hai
na baḌhā.e aur duurī koī aane vaalā mausam
chalo fāsle miTā leñ ki abhī darār kam hai
ye tum hī pe munhasir hai ki tum aao yā na aao
maiñ bhalā ye kaise kah duuñ mujhe intizār kam hai
yahī chāhte the ham bhī ki na rāz-e-dil ayaañ ho
magar apne āñsuoñ par hameñ iḳhtiyār kam hai
vo uThā thā ek tūfāñ jo machā gayā tabāhī
abhī āñdhiyāñ thamī haiñ to abhī ġhubār kam hai
kahīñ kho ga.e tasavvur jo bikhar gayā taḳhayyul
to 'shifā' ye kaise kah de ki vo be-qarār kam hai
na hai us ko mujh se ghaflat na wo zimmedar kam hai
pa alag hai us ki fitrat wo wafa-shiar kam hai
meri hasraten miTengi mere KHwab honge pure
mujhe apne is yaqin par zara e'tibar kam hai
na baDhae aur duri koi aane wala mausam
chalo fasle miTa len ki abhi darar kam hai
ye tum hi pe munhasir hai ki tum aao ya na aao
main bhala ye kaise kah dun mujhe intizar kam hai
yahi chahte the hum bhi ki na raaz-e-dil ayan ho
magar apne aansuon par hamein iKHtiyar kam hai
wo uTha tha ek tufan jo macha gaya tabahi
abhi aandhiyan thami hain to abhi ghubar kam hai
kahin kho gae tasawwur jo bikhar gaya taKHayyul
to 'shifa' ye kaise kah de ki wo be-qarar kam hai
- Book : Khat-e-abyaz (Pg. 37)
- Author : Shifa Kajganvi
- Publication : Shivna Prakashan (M.P.)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.