na hum badle na gul badle na rang-e-gulsitan badla
na ham badle na gul badle na rang-e-gulsitāñ badlā
ḳhudā hī jaane phir kaise mizāj-e-bāġhbāñ badlā
na ġham badle na ham badle na jor-e-āsmāñ badlā
to phir kaise yaqīñ aa.e nizām-e-gulsitāñ badlā
bahāroñ ke pas-e-parda ye kaisā inqilāb aaya
nigāh-e-bāġhbāñ badlī to saarā gulsitāñ badlā
vahīñ sayyād o barq o bāġhbāñ ne yūrisheñ kar diiñ
jahāñ bhī ham ne gulshan meñ maqām-e-āshiyāñ badlā
ye me.arāj-e-kamāl-e-be-ḳhudī-e-shauq hī kahiye
jidhar sajda kiyā maiñ nai udhar hī āstāñ badlā
bhañvar se to nikal aa.ī magar sāhil pe aa Duubī
mirī kashtī ne badlā bhī to ruḳh aa kar kahāñ badlā
rahī islāh kī nākām har kāvish muqaddar se
badalnā thā na andāz-e-mizāj-e-bāġhbāñ badlā
chaman vāloñ kī duniyā to badal kar rah ga.ī lekin
na āh-e-shab meñ farq aaya na andāz-e-fuġhāñ badlā
vahāñ be-sūd hai insāf kī ummīd hī rakhnā
vafāoñ kā mile ai dil jafāoñ se jahāñ badlā
'razī' har ik nafas par zindagī bhar inqalāb aa.e
magar jo apnī qismat meñ likhā thā vo kahāñ badlā
na hum badle na gul badle na rang-e-gulsitan badla
KHuda hi jaane phir kaise mizaj-e-baghban badla
na gham badle na hum badle na jor-e-asman badla
to phir kaise yaqin aae nizam-e-gulsitan badla
bahaaron ke pas-e-parda ye kaisa inqilab aaya
nigah-e-baghban badli to sara gulsitan badla
wahin sayyaad o barq o baghban ne yurishen kar din
jahan bhi hum ne gulshan mein maqam-e-ashiyan badla
ye mearaj-e-kamal-e-be-KHudi-e-shauq hi kahiye
jidhar sajda kiya main nai udhar hi aastan badla
bhanwar se to nikal aai magar sahil pe aa Dubi
meri kashti ne badla bhi to ruKH aa kar kahan badla
rahi islah ki nakaam har kawish muqaddar se
badalna tha na andaz-e-mizaj-e-baghban badla
chaman walon ki duniya to badal kar rah gai lekin
na aah-e-shab mein farq aaya na andaz-e-fughan badla
wahan be-sud hai insaf ki ummid hi rakhna
wafaon ka mile ai dil jafaon se jahan badla
'razi' har ek nafas par zindagi bhar inqalab aae
magar jo apni qismat mein likha tha wo kahan badla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.