na hum kisi ke liye hain na tum kisi ke liye
na hum kisi ke liye hain na tum kisi ke liye
Naqvii Mustafa Aabadi
MORE BYNaqvii Mustafa Aabadi
na ham kisī ke liye haiñ na tum kisī ke liye
bane haiñ donoñ mohabbat kī zindagī ke liye
ḳhudā-e-ishq karam ho ki dam nikaltā hai
butān-e-dīda-o-dil kuchh to āzarī ke liye
sahar se shaam talak aql ke dhuñdalke meñ
bhaTakte phirte haiñ ham dil kī raushnī ke liye
vufūr-e-shauq-e-takallum se chup hue the kabhī
taras rahe haiñ usī din se ḳhāmushī ke liye
mire savāl-e-tamannā pe hañs ke chup rahnā
ye dil lagī ke liye thā ki dil-lagī ke liye
hamāre jazb-e-nazar kī karāhateñ dekheñ
yahāñ tum aa.e the bas ek do ghaḌī ke liye
ye dard-e-dil to baḌe kaam kī hai chiiz ai dost
magar hai shart ki kaam aa.e aadmī ke liye
na thā ye ilm ki hañsne meñ jaan jaatī hai
kalī shagufta huī thī us āgahī ke liye
mire sarishk-e-tabassum kā raaz kyā samjho
ye dil-lagī ke liye hai na be-dilī ke liye
na dekho tuur kī jānib hazar karo 'naqvī'
ma.āl-e-jur.at-e-mūsā hai raushnī ke liye
na hum kisi ke liye hain na tum kisi ke liye
bane hain donon mohabbat ki zindagi ke liye
KHuda-e-ishq karam ho ki dam nikalta hai
butan-e-dida-o-dil kuchh to aazari ke liye
sahar se sham talak aql ke dhundalke mein
bhaTakte phirte hain hum dil ki raushni ke liye
wufur-e-shauq-e-takallum se chup hue the kabhi
taras rahe hain usi din se KHamushi ke liye
mere sawal-e-tamanna pe hans ke chup rahna
ye dil lagi ke liye tha ki dil-lagi ke liye
hamare jazb-e-nazar ki karahaten dekhen
yahan tum aae the bas ek do ghaDi ke liye
ye dard-e-dil to baDe kaam ki hai chiz ai dost
magar hai shart ki kaam aae aadmi ke liye
na tha ye ilm ki hansne mein jaan jati hai
kali shagufta hui thi us aagahi ke liye
mere sarishk-e-tabassum ka raaz kya samjho
ye dil-lagi ke liye hai na be-dili ke liye
na dekho tur ki jaanib hazar karo 'naqwi'
maal-e-jurat-e-musa hai raushni ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.