na ham-safir na hamdam dikhai deta hai
na ham-safīr na hamdam dikhā.ī detā hai
bahut ḳhushī meñ bahut kam dikhā.ī detā hai
ye ġham nahīñ ki hameñ kam dikhā.ī detā hai
dikhā.ī deñge hameñ ham dikhā.ī detā hai
salīb-o-dār kā aalam dikhā.ī detā hai
kahīñ ziyāda kahīñ kam dikhā.ī detā hai
na sirf āb-e-baqā sam dikhā.ī detā hai
masīh-e-pāk bhī ab yam dikhā.ī detā hai
dikhā.ī de bhī to aise meñ kyā dikhā.ī de
zamāna darham-o-barham dikhā.ī detā hai
bahar-nigāh do-ālam dikhā.ī dete haiñ
kabhī-kabhār vo aalam dikhā.ī detā hai
guzar rahī hai shab-e-ġham ḳhayāl kī lau meñ
yahī charāġh-e-shab-e-ġham dikhā.ī detā hai
vo lam-yazal kisī dushman ko bhī ye din na dikhā.e
hilāl maz.har-e-mātam dikhā.ī detā hai
ye baat dād-talab hai shikast khā kar bhī
ġhanīm aaj munazzam dikhā.ī detā hai
zamāna kal bhī yahī aa.ina dikhā.egā
ki dekhte hī raheñ ham dikhā.ī detā hai
tujhe vazīfe se fursat nahīñ zarā vaa.iz
mujhe farīza muqaddam dikhā.ī detā hai
tahassurāna nigāhoñ se dekhne vaale
yahāñ koī ḳhush-o-ḳhurram dikhā.ī detā hai
qafas se aa to gayā bāhar aaj sher magar
na valvala na vo dam-ḳham dikhā.ī detā hai
haram meñ dair meñ dargāh meñ kalīsā meñ
jahāñ-tahāñ but-e-ādam dikhā.ī detā hai
ye apne apne nazariye kī baat hai 'sarshār'
vo ajnabī hameñ hamdam dikhā.ī detā hai
na ham-safir na hamdam dikhai deta hai
bahut KHushi mein bahut kam dikhai deta hai
ye gham nahin ki hamein kam dikhai deta hai
dikhai denge hamein hum dikhai deta hai
salib-o-dar ka aalam dikhai deta hai
kahin ziyaada kahin kam dikhai deta hai
na sirf aab-e-baqa sam dikhai deta hai
masih-e-pak bhi ab yam dikhai deta hai
dikhai de bhi to aise mein kya dikhai de
zamana darham-o-barham dikhai deta hai
bahar-nigah do-alam dikhai dete hain
kabhi-kabhaar wo aalam dikhai deta hai
guzar rahi hai shab-e-gham KHayal ki lau mein
yahi charagh-e-shab-e-gham dikhai deta hai
wo lam-yazal kisi dushman ko bhi ye din na dikhae
hilal mazhar-e-matam dikhai deta hai
ye baat dad-talab hai shikast kha kar bhi
ghanim aaj munazzam dikhai deta hai
zamana kal bhi yahi aaina dikhaega
ki dekhte hi rahen hum dikhai deta hai
tujhe wazife se fursat nahin zara waiz
mujhe fariza muqaddam dikhai deta hai
tahassurana nigahon se dekhne wale
yahan koi KHush-o-KHurram dikhai deta hai
qafas se aa to gaya bahar aaj sher magar
na walwala na wo dam-KHam dikhai deta hai
haram mein dair mein dargah mein kalisa mein
jahan-tahan but-e-adam dikhai deta hai
ye apne apne nazariye ki baat hai 'sarshaar'
wo ajnabi hamein hamdam dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.