na hamdam hai na koi ham-zaban hai
na hamdam hai na koī ham-zabāñ hai
dil-e-nāshād phir bhī naġhma-ḳhvāñ hai
mirī qismat meñ hī dī hai ḳhudā ne
musībat jo bhī zer-e-āsmāñ hai
chaman ke tā.iro ab ḳhair māñgo
bahut barham mizāj-e-bāġhbāñ hai
huā ruḳhsat shabāb ai ham-safīro
tabī.at meñ vo shoḳhī ab kahāñ hai
mujhe baḳhshī hai jis ne ġham kī daulat
use kyūñkar kahūñ nā-mehrbāñ hai
ghaḌī bhar hī kī lazzat hai havas meñ
mohabbat ek kaif-e-jāvedāñ hai
dil-e-nādāñ ko bahlātī rahī jo
mire ḳhvāboñ kī vo duniyā kahāñ hai
miTā.egā koī urdu ko kyūñkar
ye 'iqbāl' aur 'ġhālib' kī zabāñ hai
'bahār' ahl-e-zamāna ko ḳhushāmad
hamārī tab-e-nāzuk par girāñ hai
na hamdam hai na koi ham-zaban hai
dil-e-nashad phir bhi naghma-KHwan hai
meri qismat mein hi di hai KHuda ne
musibat jo bhi zer-e-asman hai
chaman ke tairo ab KHair mango
bahut barham mizaj-e-baghban hai
hua ruKHsat shabab ai ham-safiro
tabiat mein wo shoKHi ab kahan hai
mujhe baKHshi hai jis ne gham ki daulat
use kyunkar kahun na-mehrban hai
ghaDi bhar hi ki lazzat hai hawas mein
mohabbat ek kaif-e-jawedan hai
dil-e-nadan ko bahlati rahi jo
mere KHwabon ki wo duniya kahan hai
miTaega koi urdu ko kyunkar
ye 'iqbaal' aur 'ghaalib' ki zaban hai
'bahaar' ahl-e-zamana ko KHushamad
hamari tab-e-nazuk par giran hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.