Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na haram ki hai mujhe justuju na dar-e-butan ki talash hai

Wali Kakoravi

na haram ki hai mujhe justuju na dar-e-butan ki talash hai

Wali Kakoravi

MORE BYWali Kakoravi

    na haram hai mujhe justujū na dar-e-butāñ talāsh hai

    tire naqsh-e-pā hai aarzū tire āstāñ talāsh hai

    na talab hai naġhma-e-dair na mujhe azaañ talāsh hai

    jo diloñ aag ko chheḌ de mujhe us fuġhāñ talāsh hai

    pas-e-parda ho chukī guftugū kabhī sāmne bhī to aao tum

    maiñ zamīñ ko le ke karūñgā kyā mujhe āsmāñ talāsh hai

    tirā jalva merī sharāb hai mirī sajda-gah tirā āstāñ

    na talab mujhe mai-o-jām na dar-e-muġhāñ talāsh hai

    mujhe nāḳhudā se ġharaz nahīñ mujhe ḳhauf-e-mauj-e-ravāñ nahīñ

    jo lagā de kashti-e-dil ko paar usī bādbāñ talāsh hai

    kabhī uTh ke sho.ala-e-dil dikhā is ġharīb ko rāsta

    ki añdherī raat meñ barq ko mire āshiyāñ talāsh hai

    jo atā ho daulat-e-do-jahāñ to kabhī qubūl na maiñ karūñ

    mile dard-e-ishq tirā mujhe usī armuġhāñ talāsh hai

    huā jal ke ḳhaak jo āshiyāñ to ye ḳhaak rah ke karegī kyā

    ġham-e-ārzī hai azāb-e-jāñ ġham-e-jāvedāñ talāsh hai

    tirī jo ġhazal hai vo ai 'valī' hai ḳhazāna fikr-e-buland

    na muhāvare hai justujū na tujhe zabāñ talāsh hai

    na haram ki hai mujhe justuju na dar-e-butan ki talash hai

    tere naqsh-e-pa ki hai aarzu tere aastan ki talash hai

    na talab hai naghma-e-dair ki na mujhe azan ki talash hai

    jo dilon ki aag ko chheD de mujhe us fughan ki talash hai

    pas-e-parda ho chuki guftugu kabhi samne bhi to aao tum

    main zamin ko le ke karunga kya mujhe aasman ki talash hai

    tera jalwa meri sharab hai meri sajda-gah tera aastan

    na talab mujhe mai-o-jam ki na dar-e-mughan ki talash hai

    mujhe naKHuda se gharaz nahin mujhe KHauf-e-mauj-e-rawan nahin

    jo laga de kashti-e-dil ko par usi baadban ki talash hai

    kabhi uTh ke shoala-e-dil dikha tu hi is gharib ko rasta

    ki andheri raat mein barq ko mere aashiyan ki talash hai

    jo ata ho daulat-e-do-jahan to kabhi qubul na main karun

    mile dard-e-ishq tera mujhe usi armughan ki talash hai

    hua jal ke KHak jo aashiyan to ye KHak rah ke karegi kya

    gham-e-arzi hai azab-e-jaan gham-e-jawedan ki talash hai

    teri jo ghazal hai wo ai 'wali' hai KHazana fikr-e-buland ka

    na muhaware ki hai justuju na tujhe zaban ki talash hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now