na hasin misl-e-gulab hun na kisi ki aankh ka KHwab hun
na hasīn misl-e-gulāb huuñ na kisī kī aañkh kā ḳhvāb huuñ
tirī zindagī kī kitāb kā magar ek chhoTā sā baab huuñ
mire harf harf meñ nudrateñ mire baab baab meñ hairateñ
kabhī tū ne jis ko chhuā nahīñ maiñ vo ek korī kitāb huuñ
mirī apnī shakl nahīñ koī tū ne jaise Dhālā maiñ Dhal ga.ī
hai ye faisla tire haath meñ maiñ 'azāb huuñ yā savāb huuñ
tire zauq-e-mai ke shabāb ko nayā chāhiye koī ab nasha
nasha jis kā utre na der tak vahī maiñ purānī sharāb huuñ
ye jahān bahr hai be-karāñ mirī haisiyat hī bhalā hai kyā
mirā naam kyā mirī zaat kyā maiñ to sirf misl-e-habāb huuñ
jo sharīk-e-jurm thā ham-navā vo to jaane kab se rihā huā
huā mājrā mire saath kyā maiñ abhī bhī zer-e-'itāb huuñ
na hasin misl-e-gulab hun na kisi ki aankh ka KHwab hun
teri zindagi ki kitab ka magar ek chhoTa sa bab hun
mere harf harf mein nudraten mere bab bab mein hairaten
kabhi tu ne jis ko chhua nahin main wo ek kori kitab hun
meri apni shakl nahin koi tu ne jaise Dhaala main Dhal gai
hai ye faisla tere hath mein main 'azab hun ya sawab hun
tere zauq-e-mai ke shabab ko naya chahiye koi ab nasha
nasha jis ka utre na der tak wahi main purani sharab hun
ye jahan bahr hai be-karan meri haisiyat hi bhala hai kya
mera nam kya meri zat kya main to sirf misl-e-habab hun
jo sharik-e-jurm tha ham-nawa wo to jaane kab se riha hua
hua majra mere sath kya main abhi bhi zer-e-'itab hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.