na hawa-e-jah-e-sikandari na hawas ki mahfil-e-jam mile
na havā-e-jāh-e-sikandarī na havas ki mahfil-e-jam mile
mire dost tere dayār kī mujhe ḳhaak zer-e-qadam mile
sar-e-bazm un kī janāb meñ kise tāb-e-dīd-e-jamāl thī
vo to kahiye ḳhalvat-e-nāz meñ baḌī ehtiyāt se ham mile
kise ab sunā.eñ hadīs-e-ġham kise dil ke daaġh dikhā.eñ ham
thī karam kī jin se umiid kuchh vahī mahv-e-kār-e-sitam mile
yahī mai-kade kā nizām hai yahī tarz-e-gardish-e-jām hai
ki bajā.e bāda-e-mushk-bū kabhī tishnagī kabhī sam mile
jo nigāh zarf-shanās ho to ye farz pīr-e-muġhāñ kā hai
na kisī kā jaam chhalak paḌe na kisī ko zarf se kam mile
vahī bazm-gah ke charāġh the thī unhī se shaukat-e-razm-gah
magar aah banda-e-maslahat vahī ahl-e-saif-o-qalam mile
vahāñ chaak parda-e-rāz thā baḌī go-mago meñ 'ayāz' thā
jinheñ apne zohd pe naaz thā vo asīr-e-zulf-e-sanam mile
na hawa-e-jah-e-sikandari na hawas ki mahfil-e-jam mile
mere dost tere dayar ki mujhe KHak zer-e-qadam mile
sar-e-bazm un ki janab mein kise tab-e-did-e-jamal thi
wo to kahiye KHalwat-e-naz mein baDi ehtiyat se hum mile
kise ab sunaen hadis-e-gham kise dil ke dagh dikhaen hum
thi karam ki jin se umid kuchh wahi mahw-e-kar-e-sitam mile
yahi mai-kade ka nizam hai yahi tarz-e-gardish-e-jam hai
ki bajae baada-e-mushk-bu kabhi tishnagi kabhi sam mile
jo nigah zarf-shanas ho to ye farz pir-e-mughan ka hai
na kisi ka jam chhalak paDe na kisi ko zarf se kam mile
wahi bazm-gah ke charagh the thi unhi se shaukat-e-razm-gah
magar aah banda-e-maslahat wahi ahl-e-saif-o-qalam mile
wahan chaak parda-e-raaz tha baDi go-mago mein 'ayaz' tha
jinhen apne zohd pe naz tha wo asir-e-zulf-e-sanam mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.