na hire jawahir na zar baKHsh maula
na hiire javāhir na zar baḳhsh maulā
mujhe bas ġhazal kā hunar baḳhsh maulā
suḳhan kī piroūñ maiñ tasbīh jin se
vo lafzoñ ke lā'l-o-guhar baḳhsh maulā
falak se bhī ūñchī bhareñ ye uḌāneñ
ḳhayāloñ ko mere vo par baḳhsh maulā
pighal jaa.eñ patthar bhī sun giit mere
qalam ko mire vo asar baḳhsh maulā
nahīñ mujh ko manzil kī hargiz tamannā
mujhe bas musalsal safar baḳhsh maulā
sameTe jo dard-e-jahāñ apne andar
shajar sā mujhe ik jigar baḳhsh maulā
mohabbat bharā ek dil mujh ko de de
qanā'at-bharī ik nazar baḳhsh maulā
jhuke na kabhī zulm ke sāmne jo
tū kāñdhoñ pe mere vo sar baḳhsh maulā
'sadā' bekasoñ kā kare ḳhair-maqdam
mere ghar ko aisā tū dar baḳhsh maulā
na hire jawahir na zar baKHsh maula
mujhe bas ghazal ka hunar baKHsh maula
suKHan ki piroun main tasbih jin se
wo lafzon ke la'l-o-guhar baKHsh maula
falak se bhi unchi bharen ye uDanen
KHayalon ko mere wo par baKHsh maula
pighal jaen patthar bhi sun git mere
qalam ko mere wo asar baKHsh maula
nahin mujh ko manzil ki hargiz tamanna
mujhe bas musalsal safar baKHsh maula
sameTe jo dard-e-jahan apne andar
shajar sa mujhe ek jigar baKHsh maula
mohabbat bhara ek dil mujh ko de de
qana'at-bhari ek nazar baKHsh maula
jhuke na kabhi zulm ke samne jo
tu kandhon pe mere wo sar baKHsh maula
'sada' bekason ka kare KHair-maqdam
mere ghar ko aisa tu dar baKHsh maula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.