Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na ho dil-shikasta koi wo nizam chahte hain

Mohammad Moosa

na ho dil-shikasta koi wo nizam chahte hain

Mohammad Moosa

MORE BYMohammad Moosa

    na ho dil-shikasta koī vo nizām chāhte haiñ

    na.ī sub.h chāhte haiñ na.ī shaam chāhte haiñ

    jo nigāh-e-muztarib ko kahīñ aur na rakkhe

    vahī barq vo jalva sar-e-bām chāhte haiñ

    vo jo barguzīda bande haiñ jahān-e-āb-o-gil meñ

    na numūd chāhte haiñ na vo naam chāhte haiñ

    na ġharaz hai but-kade se na haram se un ko matlab

    tire dar ke sāmne jo qiyām chāhte haiñ

    tirī chashm-e-mast se hai jinheñ nisbat-e-ḳhusūsī

    na vo baada chāhte haiñ na vo jaam chāhte haiñ

    vo navā-e-sarmadī ho ki sadā-e-qum-bi-iznī

    jo naved-e-zindagī de vo payām chāhte haiñ

    jise mehr-o-māh dekheñ ba-nigāh-e-rashk 'mūsā'

    rah-e-āshiqī meñ ham to vo maqām chāhte haiñ

    na ho dil-shikasta koi wo nizam chahte hain

    nai subh chahte hain nai sham chahte hain

    jo nigah-e-muztarib ko kahin aur ka na rakkhe

    wahi barq wo hi jalwa sar-e-baam chahte hain

    wo jo barguzida bande hain jahan-e-ab-o-gil mein

    na numud chahte hain na wo nam chahte hain

    na gharaz hai but-kade se na haram se un ko matlab

    tere dar ke samne hi jo qiyam chahte hain

    teri chashm-e-mast se hai jinhen nisbat-e-KHususi

    na wo baada chahte hain na wo jam chahte hain

    wo nawa-e-sarmadi ho ki sada-e-qum-bi-izni

    jo nawed-e-zindagi de wo payam chahte hain

    jise mehr-o-mah dekhen ba-nigah-e-rashk 'musa'

    rah-e-ashiqi mein hum to wo maqam chahte hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now