Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na ho jis ko kisi ka gham use kahiye to kya kahiye

Hakeem Aagha Jan Aish

na ho jis ko kisi ka gham use kahiye to kya kahiye

Hakeem Aagha Jan Aish

MORE BYHakeem Aagha Jan Aish

    na ho jis ko kisī ġham use kahiye to kyā kahiye

    jo sun kar haal ho barham use kahiye to kyā kahiye

    sabab hove to kiije tark kahiye be-sabab yaaro

    ḳhafā hotā ho jo har dam use kahiye to kyā kahiye

    bhalī kar ke kaheñ us se to vo maane burā ulTā

    jo shīrīnī ko samjhe sam use kahiye to kyā kahiye

    nashe meñ raat din maḳhmūr rahtā hai vo ġhairoñ meñ

    hai us aur aalam use kahiye to kyā kahiye

    mazā kahne ye hai ik kahe aur dūsrā maane

    jo ho har baat meñ barham use kahiye to kyā kahiye

    samajh achchhe bure ho to kuchh kahnā bhī lāzim hai

    ho yaksāñ jis madh-o-zam use kahiye to kyā kahiye

    zabānī haal qāsid se bhalā ham 'aish' kyā kahte

    jo hove shaḳhs-e-nā-mahram use kahiye to kyā kahiye

    na ho jis ko kisi ka gham use kahiye to kya kahiye

    jo sun kar haal ho barham use kahiye to kya kahiye

    sabab howe to kije tark kahiye be-sabab yaro

    KHafa hota ho jo har dam use kahiye to kya kahiye

    bhali kar ke kahen us se to wo mane bura ulTa

    jo shirini ko samjhe sam use kahiye to kya kahiye

    nashe mein raat din maKHmur rahta hai wo ghairon mein

    hai us ka aur hi aalam use kahiye to kya kahiye

    maza kahne ka ye hai ek kahe aur dusra mane

    jo ho har baat mein barham use kahiye to kya kahiye

    samajh achchhe bure ki ho to kuchh kahna bhi lazim hai

    ho yaksan jis ki madh-o-zam use kahiye to kya kahiye

    zabani haal qasid se bhala hum 'aish' kya kahte

    jo howe shaKHs-e-na-mahram use kahiye to kya kahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now