na ho jis sar mein tere ishq ka sauda wo sar kya hai
na ho jis sar mein tere ishq ka sauda wo sar kya hai
Naseer Ahmad Ansari
MORE BYNaseer Ahmad Ansari
na ho jis sar meñ tere ishq kā saudā vo sar kyā hai
tire rū-e-hasīñ par jo na Thahre vo nazar kyā hai
jhukī jaatī hai kyoñ apnī jabīñ be-iḳhtiyārāna
agar ka.aba nahīñ hai phir tumhārā sang-e-dar kyā hai
idhar tashrīf laane kī kabhī zahmat to farmā.eñ
sukūnat ke liye dil merā hāzir hai ye ghar kyā hai
baġhair-e-sa.ī-e-paiham tajraba hāsil nahīñ hotā
safar jis ne kiye haiñ vo batā.egā safar kyā hai
tirā dushman agar saarā jahāñ ho jaa.e hone de
tū sachchā hai to sachchī baat kah dene meñ Dar kyā hai
nahīñ pahchān agar tujh ko 'nasīr' apne parā.e kī
to phir tū koī dānish-mand kyā hai dīda-var kyā hai
na ho jis sar mein tere ishq ka sauda wo sar kya hai
tere ru-e-hasin par jo na Thahre wo nazar kya hai
jhuki jati hai kyon apni jabin be-iKHtiyarana
agar kaba nahin hai phir tumhaara sang-e-dar kya hai
idhar tashrif lane ki kabhi zahmat to farmaen
sukunat ke liye dil mera hazir hai ye ghar kya hai
baghair-e-sai-e-paiham tajraba hasil nahin hota
safar jis ne kiye hain wo bataega safar kya hai
tera dushman agar sara jahan ho jae hone de
tu sachcha hai to sachchi baat kah dene mein Dar kya hai
nahin pahchan agar tujh ko 'nasir' apne parae ki
to phir tu koi danish-mand kya hai dida-war kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.