na ho nahin hai agar us ka shin qaf durust
na ho nahīñ hai agar us kā shiin qaaf durust
vo haq pe hai to nahīñ is se iḳhtilāf durust
ta'alluqāt kī tajdīd ke liye yaaro
hai apnī apnī kamī kā ye e'tirāf durust
azaab jhāñk rahā hai zarā to fikr karo
nahīñ hai ghar ke kivāḌoñ meñ ye shigāf durust
ye raushnī to matā.a-e-nazar kī dushman hai
mirī nazar meñ hai ab is se inhirāf durust
zarā tum apnī hadoñ kā bhī jā.eza le lo
ye māntā huuñ ki hai mujh se iḳhtilāf durust
ye justujū to kisī saa.e kā ta.āqub hai
huā hai mujh pe achānak ye inkishāf durust
milegā kyā tujhe 'anvar-shamīm’ baaz aa jā
nahīñ hai is dar-e-daulat kā ye tavāf durust
na ho nahin hai agar us ka shin qaf durust
wo haq pe hai to nahin is se iKHtilaf durust
ta'alluqat ki tajdid ke liye yaro
hai apni apni kami ka ye e'tiraf durust
azab jhank raha hai zara to fikr karo
nahin hai ghar ke kiwaDon mein ye shigaf durust
ye raushni to mataa-e-nazar ki dushman hai
meri nazar mein hai ab is se inhiraf durust
zara tum apni hadon ka bhi jaeza le lo
ye manta hun ki hai mujh se iKHtilaf durust
ye justuju to kisi sae ka taaqub hai
hua hai mujh pe achanak ye inkishaf durust
milega kya tujhe 'anwar-shamim’ baz aa ja
nahin hai is dar-e-daulat ka ye tawaf durust
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.