na hoga masala hal barhami se
na hogā mas.ala hal barhamī se
kabhī to ham se miliye sādgī se
bahut sī ḳhūbiyāñ haiñ tujh meñ lekin
maiñ ghabrātā huuñ terī dostī se
jo har hālat meñ ḳhush rahne lagā hai
mujhe milnā hai aise aadmī se
mujhe tanhā na karnā dostoñ se
bahut chāhat hai mujh ko zindagī se
ziyāda raushnī raas aa.ī kis ko
mirā sab kuchh hai ghar kī raushnī se
agarche chalte chalte tak gayā huuñ
mujhe milnā hai 'nashtar' aap hī se
na hoga masala hal barhami se
kabhi to hum se miliye sadgi se
bahut si KHubiyan hain tujh mein lekin
main ghabraata hun teri dosti se
jo har haalat mein KHush rahne laga hai
mujhe milna hai aise aadmi se
mujhe tanha na karna doston se
bahut chahat hai mujh ko zindagi se
ziyaada raushni ras aai kis ko
mera sab kuchh hai ghar ki raushni se
agarche chalte chalte tak gaya hun
mujhe milna hai 'nashtar' aap hi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.