na hoga shauq ye ab kam hamara
na hogā shauq ye ab kam hamārā
tire kūche meñ nikle dam hamārā
yaqīñ jo us pe ho mohkam hamārā
bigāḌegā ye kyā aalam hamārā
yahāñ tafrīq har parcham tale hai
faqat tafrīq-kush parcham hamārā
ham apnā jā.eza le kar to dekheñ
kahāñ hai aaj ye sar ḳham hamārā
na samjhe vo qusūr un kā nahīñ hai
ishāra thā hī kuchh mub.ham hamārā
yahāñ hai kaun apne ġham se ḳhālī
kaheñ ab kis se āḳhir ġham hamārā
jo aalam ahl-e-duniyā kā hai yaaro
vahī aalam hai besh-o-kam hamārā
kaheñ kyā tum se ham us se kaheñge
karegā duur vo hī ġham hamārā
rah-e-insāniyat bas ek hī hai
yahī elaan hai paiham hamārā
ilāhī sabr de rāh-e-vafā meñ
mizāj ho jaa.e na barham hamārā
vafā kā ye mirī radd-e-amal hai
kiyā qātil ne bhī mātam hamārā
inhīñ ahbāb hī ne to kiyā hai
charāġh-e-ārzū maddham hamārā
bulāo ibn-e-mariyam ko bulāo
laboñ par aa gayā hai dam hamārā
huā kyā haa.e 'āqib' be-ḳhudī meñ
huā dāman ye kaise nam hamārā
na hoga shauq ye ab kam hamara
tere kuche mein nikle dam hamara
yaqin jo us pe ho mohkam hamara
bigaDega ye kya aalam hamara
yahan tafriq har parcham tale hai
faqat tafriq-kush parcham hamara
hum apna jaeza le kar to dekhen
kahan hai aaj ye sar KHam hamara
na samjhe wo qusur un ka nahin hai
ishaara tha hi kuchh mubham hamara
yahan hai kaun apne gham se KHali
kahen ab kis se aaKHir gham hamara
jo aalam ahl-e-duniya ka hai yaro
wahi aalam hai besh-o-kam hamara
kahen kya tum se hum us se kahenge
karega dur wo hi gham hamara
rah-e-insaniyat bas ek hi hai
yahi elan hai paiham hamara
ilahi sabr de rah-e-wafa mein
mizaj ho jae na barham hamara
wafa ka ye meri radd-e-amal hai
kiya qatil ne bhi matam hamara
inhin ahbab hi ne to kiya hai
charagh-e-arzu maddham hamara
bulao ibn-e-mariyam ko bulao
labon par aa gaya hai dam hamara
hua kya hae 'aqib' be-KHudi mein
hua daman ye kaise nam hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.