na hua hashr ko haal-e-sitam izhaar apna
na huā hashr ko hāl-e-sitam iz.hār apnā
na banāyā hameñ zālim ne gunahgār apnā
haath mahrūmī-e-taqdīr ke hai kaar apnā
kyā dikhā.eñ tujhe muñh hasrat-e-dīdār apnā
halqa-e-kākul-e-mushkīñ ke jo mazmūñ bāñdhe
ban gayā nuqta har ik nāfa-e-tātār apnā
sahl samjhe the dam-e-qatl girāñ-jānī ko
ho gayā kaam tirī teġh ko dushvār apnā
dekhte hī use kuchh kah na sake hashr meñ ham
ho gayā band vahāñ bhī lab-e-iz.hār apnā
intiqām-e-sitam-e-ġhair se māyūs rahe
na huā hashr meñ bhī koī talabgār apnā
af.ī-e-zulf ke Daste hī huā kaam tamām
bah gayā aab ke mānind tan-e-zār apnā
raat us maah ko ham jhāñkte hī mahv hue
ban gayā rauzan-e-dar dīda-e-bedār apnā
kākul-o-zulf kī suljhā.ī hī maiñ pech paḌā
varna hotā na kabhī dil ye giraftār apnā
rū-siyah hī sifat-e-naqsh-e-nagīñ rakhtā hai
ḳhuub raushan hai 'hayā' baḳht-e-siyahkār apnā
na hua hashr ko haal-e-sitam izhaar apna
na banaya hamein zalim ne gunahgar apna
hath mahrumi-e-taqdir ke hai kar apna
kya dikhaen tujhe munh hasrat-e-didar apna
halqa-e-kakul-e-mushkin ke jo mazmun bandhe
ban gaya nuqta har ek nafa-e-tatar apna
sahl samjhe the dam-e-qatl giran-jaani ko
ho gaya kaam teri tegh ko dushwar apna
dekhte hi use kuchh kah na sake hashr mein hum
ho gaya band wahan bhi lab-e-izhaar apna
intiqam-e-sitam-e-ghair se mayus rahe
na hua hashr mein bhi koi talabgar apna
afi-e-zulf ke Daste hi hua kaam tamam
bah gaya aab ke manind tan-e-zar apna
raat us mah ko hum jhankte hi mahw hue
ban gaya rauzan-e-dar dida-e-bedar apna
kakul-o-zulf ki suljhai hi main pech paDa
warna hota na kabhi dil ye giraftar apna
ru-siyah hi sifat-e-naqsh-e-nagin rakhta hai
KHub raushan hai 'haya' baKHt-e-siyahkar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.