na hua par na hua wo but KHud sar apna
na huā par na huā vo but ḳhud sar apnā
tujh se insāf hai ai dāvar-e-mahshar apnā
be-qarārī ne lagāyā hai Thikāne mujh ko
pahlū-e-mehr-e-qayāmat meñ hai bistar apnā
kyā khule phirte ho tum qātil-e-ālam ho kar
kyoñ dikhāte ho tamāsha sar-e-mahshar apnā
ham-nashīñ mahv-e-tasavvur huuñ uThā.ūñ kyoñ kar
de gayā hai kisī zaanū ke tale sar apnā
mil gayā ek na milne se tire kunj-e-lahad
ban gayā ek bigaḌne se tire ghar apnā
mujh se kyā pūchhte ho donoñ jahāñ phūñk bhī do
jalne vaale bhī haiñ apne ruḳh-e-anvar apnā
dil meñ kyā sochte ho tum jise chāho dekho
aañkh apnī hai nazar apnī hai manzar apnā
is kī tarkīb ḳharābī se hai allāh allāh
vo bigaḌte haiñ to bantā hai muqaddar apnā
haa.e vo rañg-e-mohabbat ki tabassum ban kar
kisī ālūda lab-e-yār meñ thā ghar apnā
kuchh ḳhabar hai tumheñ bargashtagī-e-mizhgāñ kī
vo nazākat se sañbhaltā nahīñ nashtar apnā
chāhiye ā.īna-e-dil pe fanā kī saiqal
miTte hī miTte chamak jā.egā jauhar apnā
tiira baḳhtī ne vafā ḳhuub chhupā rakhā thā
khul gayā jalsa-e-ahbāb pe jauhar apnā
na hua par na hua wo but KHud sar apna
tujh se insaf hai ai dawar-e-mahshar apna
be-qarari ne lagaya hai Thikane mujh ko
pahlu-e-mehr-e-qayamat mein hai bistar apna
kya khule phirte ho tum qatil-e-alam ho kar
kyon dikhate ho tamasha sar-e-mahshar apna
ham-nashin mahw-e-tasawwur hun uThaun kyon kar
de gaya hai kisi zanu ke tale sar apna
mil gaya ek na milne se tere kunj-e-lahad
ban gaya ek bigaDne se tere ghar apna
mujh se kya puchhte ho donon jahan phunk bhi do
jalne wale bhi hain apne ruKH-e-anwar apna
dil mein kya sochte ho tum jise chaho dekho
aankh apni hai nazar apni hai manzar apna
is ki tarkib KHarabi se hai allah allah
wo bigaDte hain to banta hai muqaddar apna
hae wo rang-e-mohabbat ki tabassum ban kar
kisi aaluda lab-e-yar mein tha ghar apna
kuchh KHabar hai tumhein bargashtagi-e-mizhgan ki
wo nazakat se sanbhalta nahin nashtar apna
chahiye aaina-e-dil pe fana ki saiqal
miTte hi miTte chamak jaega jauhar apna
tera baKHti ne wafa KHub chhupa rakha tha
khul gaya jalsa-e-ahbab pe jauhar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.