na ja yun ruTh kar dilbar zara ruk ja zara ruk ja
na jā yuuñ ruuTh kar dilbar zarā ruk jā zarā ruk jā
mirī qismat ke saudā-gar zarā ruk jā zarā ruk jā
mirī har saañs aahū kī tarah mujh se gurezāñ hai
nahīñ suntī kahā aksar zarā ruk jā zarā ruk jā
bhaTaktā hī gayā vo to havas kī be-karānī meñ
pukārā laakh ai rahbar zarā ruk jā zarā ruk jā
na lauT ai yād-e-rafta mere armānoñ kī nagrī meñ
lage maazī se mujh ko Dar zarā ruk jā zarā ruk jā
baḌā nāzuk hai ai makkhī magar makḌe kā jaalā hai
nahīñ ye reshmī bistar zarā ruk jā zarā ruk jā
bigaḌtā khel hai bantā nahīñ ye jald-bāzī se
yahī kahte haiñ dānish-var zarā ruk jā zarā ruk jā
thamā hargiz na tūfān-e-ġham-e-furqat kahā garche
ba-nām-e-allah-u-akbar zarā ruk jā zarā ruk jā
hilāl-e-īd jab dekhā use ruḳhsat kī tab sūjhī
kahā maiñ ne ḳhudā se Dar zarā ruk jā zarā ruk jā
vo aane ko haiñ malak-ul-maut aahā tujh ko kyā ujlat
ḳhudārā yuuñ na jaldī kar zarā ruk jā zarā ruk jā
mujhe lutf-e-tajassus meñ haiñ bhaa.e jab se vīrāne
kahe vo lauT aa ab ghar zarā ruk jā zarā ruk jā
ḳhayāl-e-ābrū hai maiñ tumheñ kab tak manā.ūñgā
kahūñgā maiñ na ab ham-sar zarā ruk jā zarā ruk jā
sunī us ne na rahmāñ kī na shaitāñ kī na yazdāñ kī
kahā sab ne use 'anvar' zarā ruk jā zarā ruk jā
na ja yun ruTh kar dilbar zara ruk ja zara ruk ja
meri qismat ke sauda-gar zara ruk ja zara ruk ja
meri har sans aahu ki tarah mujh se gurezan hai
nahin sunti kaha aksar zara ruk ja zara ruk ja
bhaTakta hi gaya wo to hawas ki be-karani mein
pukara lakh ai rahbar zara ruk ja zara ruk ja
na lauT ai yaad-e-rafta mere armanon ki nagri mein
lage mazi se mujh ko Dar zara ruk ja zara ruk ja
baDa nazuk hai ai makkhi magar makDe ka jala hai
nahin ye reshmi bistar zara ruk ja zara ruk ja
bigaDta khel hai banta nahin ye jald-bazi se
yahi kahte hain danish-war zara ruk ja zara ruk ja
thama hargiz na tufan-e-gham-e-furqat kaha garche
ba-nam-e-allah-u-akbar zara ruk ja zara ruk ja
hilal-e-id jab dekha use ruKHsat ki tab sujhi
kaha main ne KHuda se Dar zara ruk ja zara ruk ja
wo aane ko hain malak-ul-maut aaha tujh ko kya ujlat
KHudara yun na jaldi kar zara ruk ja zara ruk ja
mujhe lutf-e-tajassus mein hain bhae jab se virane
kahe wo lauT aa ab ghar zara ruk ja zara ruk ja
KHayal-e-abru hai main tumhein kab tak manaunga
kahunga main na ab ham-sar zara ruk ja zara ruk ja
suni us ne na rahman ki na shaitan ki na yazdan ki
kaha sab ne use 'anwar' zara ruk ja zara ruk ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.