na jaane aaj kyon un ke labon par mera nam aaya
na jaane aaj kyon un ke labon par mera nam aaya
Bano Tahira Sayeed
MORE BYBano Tahira Sayeed
na jaane aaj kyoñ un ke laboñ par merā naam aayā
ye kaisā inqalāb aayā salām aayā payām aayā
mirī ḳhāmoshiyāñ unvāñ banī haiñ kitne qissoñ kā
zabāñ ab kholnā hogī ajab mushkil maqām aayā
jalā.īñ ḳhud hī sham.eñ maiñ ne aur ḳhud hī bujhā Dālīñ
kabhī jab yaad mujh ko merā ḳhvāb-e-nā-tamām aayā
bigāḌe kaam duniyā ke chalā aflāk sar karne
bashar ke sar meñ baiThe baiThe kyā saudā-e-ḳhām aayā
javānī kahte haiñ laġhzish hai lekin ma.arifat bhī hai
ka.ī rāheñ nikaltī haiñ jahāñ se vo maqām aayā
azīz-o-aqribā jitne the sab ishrat ke sāthī the
burā jab vaqt aayā 'tāhira' koī na kaam aayā
na jaane aaj kyon un ke labon par mera nam aaya
ye kaisa inqalab aaya salam aaya payam aaya
meri KHamoshiyan unwan bani hain kitne qisson ka
zaban ab kholna hogi ajab mushkil maqam aaya
jalain KHud hi shamen main ne aur KHud hi bujha Dalin
kabhi jab yaad mujh ko mera KHwab-e-na-tamam aaya
bigaDe kaam duniya ke chala aflak sar karne
bashar ke sar mein baiThe baiThe kya sauda-e-KHam aaya
jawani kahte hain laghzish hai lekin marifat bhi hai
kai rahen nikalti hain jahan se wo maqam aaya
aziz-o-aqriba jitne the sab ishrat ke sathi the
bura jab waqt aaya 'tahira' koi na kaam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.