na jaane choT kyon dil par lagi hai
na jaane choT kyoñ dil par lagī hai
kalī gulshan meñ jab koī khilī hai
tumhārā naam le kar hañs rahī hai
ye duniyā ab yahāñ tak aa ga.ī hai
jalā hai is tarah kuchh āshiyāna
jahāñ tak dekhtā huuñ raushnī hai
mujhī se merī barbādī ke qisse
ye duniyā haa.e kitnī ajnabī hai
na jaane aur kyā kyā gul khileñge
bahār ab to qafas tak aa ga.ī hai
jiye jis ke liye jaañ us pe de dī
ye hī bas dāstān-e-zindagī hai
mujhe sab jānte pahchānte haiñ
magar tū hai ki ab tak ajnabī hai
talātum se guzar kar jaane vaale
kināre par bhī kashtī Dūbtī hai
jise sab dushman-e-jāñ kah rahe haiñ
'tabassum' kī usī se dostī hai
na jaane choT kyon dil par lagi hai
kali gulshan mein jab koi khili hai
tumhaara nam le kar hans rahi hai
ye duniya ab yahan tak aa gai hai
jala hai is tarah kuchh aashiyana
jahan tak dekhta hun raushni hai
mujhi se meri barbaadi ke qisse
ye duniya hae kitni ajnabi hai
na jaane aur kya kya gul khilenge
bahaar ab to qafas tak aa gai hai
jiye jis ke liye jaan us pe de di
ye hi bas dastan-e-zindagi hai
mujhe sab jaante pahchante hain
magar tu hai ki ab tak ajnabi hai
talatum se guzar kar jaane wale
kinare par bhi kashti Dubti hai
jise sab dushman-e-jaan kah rahe hain
'tabassum' ki usi se dosti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.