na jaane jae kahan tak ye silsila dil ka
na jaane jaa.e kahāñ tak ye silsila dil kā
vo mil bhī jaa.e to miltā nahīñ sila dil kā
baras rahī thiiñ bahāreñ taras rahī thī zamīñ
safar tamām huā phuul kab khilā dil kā
kahāñ hai vo shah-e-ḳhūbī kahāñ darīcha-e-shab
ga.e vo din ki samā'at meñ thā gila dil kā
vahī ḳharābī-e-jāñ kā sabab bhī hai lekin
qarār-e-jāñ hai ki ye hai mu'āmla dil kā
use fusūñ-gar o be-mehr maiñ nahīñ kahtā
firāq-e-yār kā bā'is hai fāsla dil kā
talāsh usī kī musalsal usī ko pā kar bhī
zamīñ se tā-ba-falak hai ye mashġhala dil kā
kisī tilism-e-hijābāt meñ koī ġham hai
bhaTak rahā hai ḳhayāloñ meñ qāfila dil kā
na jaane jae kahan tak ye silsila dil ka
wo mil bhi jae to milta nahin sila dil ka
baras rahi thin bahaaren taras rahi thi zamin
safar tamam hua phul kab khila dil ka
kahan hai wo shah-e-KHubi kahan daricha-e-shab
gae wo din ki sama'at mein tha gila dil ka
wahi KHarabi-e-jaan ka sabab bhi hai lekin
qarar-e-jaan hai ki ye hai mu'amla dil ka
use fusun-gar o be-mehr main nahin kahta
firaq-e-yar ka ba'is hai fasla dil ka
talash usi ki musalsal usi ko pa kar bhi
zamin se ta-ba-falak hai ye mashghala dil ka
kisi tilism-e-hijabaat mein koi gham hai
bhaTak raha hai KHayalon mein qafila dil ka
- Book : Bahar-e-ejaad (Pg. 131)
- Author : Syed Amin Ashraf
- Publication : Urdu Monthly Shabkhoon Rani Mandi Allahabad (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.