na jaane kab ji tumhaara bahle main tang tum se ab aa raha hun
na jaane kab ji tumhaara bahle main tang tum se ab aa raha hun
Muntazir Firozabadi
MORE BYMuntazir Firozabadi
na jaane kab jī tumhārā bahle maiñ tañg tum se ab aa rahā huuñ
ki jitne qisse bane nahīñ the ziyāda us se sunā rahā huuñ
baḌā hī dushvār hai safar meñ bharosā qaa.em banā.e rakhnā
tamām dhoke vo khā rahā hai tamām dhoke maiñ khā rahā huuñ
yuuñ bhole ban ke bhī kyā karoge chalo sikhāte haiñ ik chālākī
mujhe badan tum hī apnā de do badan maiñ de ke hī aa rahā huuñ
jo dekhnā hai to dekh hī lo hai kitnī āsān ye mohabbat
vo mujh se pīchhā chhuḌā rahī hai maiñ us se pīchhā chhuḌā rahā huuñ
likhī ga.ī hai na.ī ibārat vo saarā qissa ajiib hī hai
sunā.eñ qissa ki jaane deñ ham sunā rahā huuñ sunā rahā huuñ
jo tum sunoge to bor hoge tavīl hai ye hamārā qissa
tavīl qisse ko kar ke chhoTā miTā miTā ke sunā rahā huuñ
jo raaz khole to dekh lenā hai tum se ham ko vafā kī ummīd
vo baat merī batā rahā hai maiñ baat us kī batā rahā huuñ
haañ tum ko mujh se nahīñ rahī hai vo pahle jaisī hasīñ mohabbat
tum apnā hissa nibhā rahī ho maiñ apnā hissa nibhā rahā huuñ
na jaane kitnī hī baar maiñ ne thā tum ko ullū banā.e rakhā
yaqīñ karoge yuuñ tum bhī kab tab chalo maiñ qissa sunā rahā huuñ
to bachche kar ke ye fā.eda hai yaqīñ barābar banā huā hai
vo khā rahī hai tamām qasmeñ tamām maiñ bhī to khā rahā huuñ
na jaane kyā hai jo jal rahī hai kahīñ ye apnī hī chiiz to na.iiñ
kyā aag dil meñ lagā rahe ho haañ aag dil meñ lagā rahā huuñ
ye baat tum ne bhī sun rakhī hai ki koī ham ko hai taktā rahtā
tabhī chhupā ke rakhī ho ham ko tabhī maiñ tum ko chhupā rahā huuñ
jo aag hotī hai tanhā rahne kī aag vo tum vo lagā rahe ho
ḳhudā kabhī to sunegā merī ḳhudā ko apne bulā rahā huuñ
hai baat karnā hī kaam merā to kaam kī baat kyā hī hoñgī
batānī thī yaar ye shurūa meñ lo jā ke ab maiñ batā rahā huuñ
chhaḌī huī hai vo jañg apnī ki kaun jiitā ki kaun haarā
vo merā parda girā rahā hai maiñ us se parda haTā rahā huuñ
na jaane kab ji tumhaara bahle main tang tum se ab aa raha hun
ki jitne qisse bane nahin the ziyaada us se suna raha hun
baDa hi dushwar hai safar mein bharosa qaem banae rakhna
tamam dhoke wo kha raha hai tamam dhoke main kha raha hun
yun bhole ban ke bhi kya karoge chalo sikhate hain ek chaalaki
mujhe badan tum hi apna de do badan main de ke hi aa raha hun
jo dekhna hai to dekh hi lo hai kitni aasan ye mohabbat
wo mujh se pichha chhuDa rahi hai main us se pichha chhuDa raha hun
likhi gai hai nai ibarat wo sara qissa ajib hi hai
sunaen qissa ki jaane den hum suna raha hun suna raha hun
jo tum sunoge to bor hoge tawil hai ye hamara qissa
tawil qisse ko kar ke chhoTa miTa miTa ke suna raha hun
jo raaz khole to dekh lena hai tum se hum ko wafa ki ummid
wo baat meri bata raha hai main baat us ki bata raha hun
han tum ko mujh se nahin rahi hai wo pahle jaisi hasin mohabbat
tum apna hissa nibha rahi ho main apna hissa nibha raha hun
na jaane kitni hi bar main ne tha tum ko ullu banae rakha
yaqin karoge yun tum bhi kab tab chalo main qissa suna raha hun
to bachche kar ke ye faeda hai yaqin barabar bana hua hai
wo kha rahi hai tamam qasmen tamam main bhi to kha raha hun
na jaane kya hai jo jal rahi hai kahin ye apni hi chiz to nain
kya aag dil mein laga rahe ho han aag dil mein laga raha hun
ye baat tum ne bhi sun rakhi hai ki koi hum ko hai takta rahta
tabhi chhupa ke rakhi ho hum ko tabhi main tum ko chhupa raha hun
jo aag hoti hai tanha rahne ki aag wo tum wo laga rahe ho
KHuda kabhi to sunega meri KHuda ko apne bula raha hun
hai baat karna hi kaam mera to kaam ki baat kya hi hongi
batani thi yar ye shurua mein lo ja ke ab main bata raha hun
chhaDi hui hai wo jang apni ki kaun jita ki kaun haara
wo mera parda gira raha hai main us se parda haTa raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.