na jaane kab se main gard-e-safar ki qaid mein tha
na jaane kab se maiñ gard-e-safar kī qaid meñ thā
ki sañg-e-mīl thā aur rah-guzar kī qaid meñ thā
dikhā.ī detā thā muḳhtār dast-o-bāzū se
magar vo shaḳhs kisī be-hunar kī qaid meñ thā
maiñ ḳhvāb ḳhvāb thā har jashn-e-ārzū kā asiir
khulī jo aañkh to apne hī ghar kī qaid meñ thā
khulī fazā.eñ milīñ jab to ai havā-e-chaman
maiñ be-bazā.atī-e-bāl-o-par kī qaid meñ thā
maiñ ḳhush huuñ yuuñ ki abhī tak tirī nazar meñ nahīñ
vo ashk-e-ḳhūñ jo mirī chashm-e-tar kī qaid meñ thā
na kar sakā kisī manzil kā ehtirām ki maiñ
junūn-e-shauq kā maarā safar kī qaid meñ thā
maiñ uḌ rahā thā fazāoñ kī vus.atoñ meñ magar
mirā vajūd abhī bām-o-dar kī qaid meñ thā
kiyā thā raat tasavvur meñ jis ne qasd-e-farār
vo sub.h pā-ba-girafta sahar kī qaid meñ thā
na jaane kab se main gard-e-safar ki qaid mein tha
ki sang-e-mil tha aur rah-guzar ki qaid mein tha
dikhai deta tha muKHtar dast-o-bazu se
magar wo shaKHs kisi be-hunar ki qaid mein tha
main KHwab KHwab tha har jashn-e-arzu ka asir
khuli jo aankh to apne hi ghar ki qaid mein tha
khuli fazaen milin jab to ai hawa-e-chaman
main be-bazaati-e-baal-o-par ki qaid mein tha
main KHush hun yun ki abhi tak teri nazar mein nahin
wo ashk-e-KHun jo meri chashm-e-tar ki qaid mein tha
na kar saka kisi manzil ka ehtiram ki main
junun-e-shauq ka mara safar ki qaid mein tha
main uD raha tha fazaon ki wusaton mein magar
mera wajud abhi baam-o-dar ki qaid mein tha
kiya tha raat tasawwur mein jis ne qasd-e-farar
wo subh pa-ba-girafta sahar ki qaid mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.