na jaane kaise mera aaj usne nam liya
na jaane kaise mirā aaj us ne naam liyā
tamām 'umr na jis ne mirā salām liyā
vo kar ke vā'da zamāna huā nahīñ aayā
na jaane kis ġhalatī kā ye intiqām liyā
nigāheñ milte hī us shoḳh kī nigāhoñ se
har ek shaḳhs ne dil apnā thaam thaam liyā
jo kaam teġh-o-sināñ se bhī ho nahīñ saktā
nigāh-e-nāz se us shoḳh ne vo kaam liyā
shab-e-firāq kī bechainiyoñ meñ ai 'dānish'
sukūn-e-dil ke liye maiñ ne aaj jaam liyā
na jaane kaise mera aaj us ne nam liya
tamam 'umr na jis ne mera salam liya
wo kar ke wa'da zamana hua nahin aaya
na jaane kis ghalati ka ye intiqam liya
nigahen milte hi us shoKH ki nigahon se
har ek shaKHs ne dil apna tham tham liya
jo kaam tegh-o-sinan se bhi ho nahin sakta
nigah-e-naz se us shoKH ne wo kaam liya
shab-e-firaq ki bechainiyon mein ai 'danish'
sukun-e-dil ke liye main ne aaj jam liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.