na jaane kaun hai aur kis ke intizar mein hai
na jaane kaun hai aur kis ke intizār meñ hai
vo ek shaḳhs jo barsoñ se rahguzār meñ hai
kahāñ ye baat tirī fat.h-e-shāndār meñ hai
jo baat dost mirī maslahat kī haar meñ hai
jo dekhūñ jānib-e-gulshan bhī maiñ to kyā dekhūñ
jo tū nahīñ hai to kyā mausam-e-bahār meñ hai
añdhere ho ga.e raushan zabāñ pe aate hī
vo āftāb kī tāsīr zikr-e-yār meñ hai
ye terā vahm ki tū be-sukūñ nahīñ ai dost
sharīk merī taḌap bhī tire qarār meñ hai
baġhair naam liye bhī pukār kar dekhā
kisī kā naam barābar mirī pukār meñ hai
ġham-e-hayāt se raunaq hayāt kī hai 'nasīb'
ki phuul phuul hai jab tak hujūm-e-ḳhār meñ hai
na jaane kaun hai aur kis ke intizar mein hai
wo ek shaKHs jo barson se rahguzar mein hai
kahan ye baat teri fath-e-shandar mein hai
jo baat dost meri maslahat ki haar mein hai
jo dekhun jaanib-e-gulshan bhi main to kya dekhun
jo tu nahin hai to kya mausam-e-bahaar mein hai
andhere ho gae raushan zaban pe aate hi
wo aaftab ki tasir zikr-e-yar mein hai
ye tera wahm ki tu be-sukun nahin ai dost
sharik meri taDap bhi tere qarar mein hai
baghair nam liye bhi pukar kar dekha
kisi ka nam barabar meri pukar mein hai
gham-e-hayat se raunaq hayat ki hai 'nasib'
ki phul phul hai jab tak hujum-e-KHar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.