na jaane kaun is dil mein KHiraman hota jata hai
na jaane kaun is dil mein KHiraman hota jata hai
Rajendr Bahadur Mauj
MORE BYRajendr Bahadur Mauj
na jaane kaun is dil meñ ḳhirāmāñ hotā jaatā hai
ki sāz-e-dil kā har naġhma pareshāñ hotā jaatā hai
buland itnā mazāq-e-chashm-e-insāñ hotā jaatā hai
jo taarā TuuT jaatā hai rag-e-jāñ hotā jaatā hai
nahīñ qismat meñ shāyad lazzat-e-dard-e-mohabbat bhī
samajhtā huuñ jise maiñ dard darmāñ hotā jaatā hai
haqīqat vo hai jo nazroñ pe zāhir hotī jaatī hai
vo bātil hai ki jo āñkhoñ se pinhāñ hotā jaatā hai
tamanna to tamanna hasrateñ bhī ab nahīñ baaqī
sajāyā thā jo dil maiñ ne vo vīrāñ hotā jaatā hai
mohabbat rang-o-bū ban kar chaman par chhā.ī jaatī hai
har aañsū zīnat-e-jaib-o-garebāñ hotā jaatā hai
chhupā.ūñ kis tarah rāz-e-mohabbat un kī mahfil meñ
agar chup huuñ to āñkhoñ se numāyāñ hotā jaatā hai
mirī tanhā.ī meñ tanhā.iyāñ shāyad nahīñ hotīñ
tasavvur is tarah kuchh jalva-sāmāñ hotā jaatā hai
mohabbat dar-haqīqat 'mauj' be-pāyāñ samundar hai
jise qatra samajhtā thā vo tūfāñ hotā jaatā hai
na jaane kaun is dil mein KHiraman hota jata hai
ki saz-e-dil ka har naghma pareshan hota jata hai
buland itna mazaq-e-chashm-e-insan hota jata hai
jo tara TuT jata hai rag-e-jaan hota jata hai
nahin qismat mein shayad lazzat-e-dard-e-mohabbat bhi
samajhta hun jise main dard darman hota jata hai
haqiqat wo hai jo nazron pe zahir hoti jati hai
wo baatil hai ki jo aankhon se pinhan hota jata hai
tamanna to tamanna hasraten bhi ab nahin baqi
sajaya tha jo dil main ne wo viran hota jata hai
mohabbat rang-o-bu ban kar chaman par chhai jati hai
har aansu zinat-e-jaib-o-gareban hota jata hai
chhupaun kis tarah raaz-e-mohabbat un ki mahfil mein
agar chup hun to aankhon se numayan hota jata hai
meri tanhai mein tanhaiyan shayad nahin hotin
tasawwur is tarah kuchh jalwa-saman hota jata hai
mohabbat dar-haqiqat 'mauj' be-payan samundar hai
jise qatra samajhta tha wo tufan hota jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.