na jaane kaun sa meri taraf saman baqi hai
na jaane kaun sā merī taraf sāmān baaqī hai
ki jaañ de kar bhī mujh par aap kā ehsān baaqī hai
tirī nādāniyoñ se ham mohabbat haar baiThe haiñ
lagāne ko batā ab bhī koī bohtān baaqī hai
mohabbat ke chaman meñ khilne vaale ai gul-e-ḳhanda
tire māthe pe ik bose kā bas armān baaqī hai
kisī sūrat tumhārī diid kī ḳhairāt mil jaa.e
isī ḳhvāhish meñ phailā aaj bhī dāmān baaqī hai
ye ham jo saañs le paate nahīñ haiñ apnī marzī se
hamārī zindagī meñ kaun sā tāvān baaqī hai
koī bhī phuul ḳhvāhish kā mujhe ḳhushbū nahīñ detā
to phir kaise kahūñ maiñ ziist kā gul-dān baaqī hai
ye kis muuzī maraz kī zad meñ aa.ī zindagī 'nāsir'
na koī jānvar baaqī hai na insān baaqī hai
na jaane kaun sa meri taraf saman baqi hai
ki jaan de kar bhi mujh par aap ka ehsan baqi hai
teri nadaniyon se hum mohabbat haar baiThe hain
lagane ko bata ab bhi koi bohtan baqi hai
mohabbat ke chaman mein khilne wale ai gul-e-KHanda
tere mathe pe ek bose ka bas arman baqi hai
kisi surat tumhaari did ki KHairaat mil jae
isi KHwahish mein phaila aaj bhi daman baqi hai
ye hum jo sans le pate nahin hain apni marzi se
hamari zindagi mein kaun sa tawan baqi hai
koi bhi phul KHwahish ka mujhe KHushbu nahin deta
to phir kaise kahun main zist ka gul-dan baqi hai
ye kis muzi maraz ki zad mein aai zindagi 'nasir'
na koi jaanwar baqi hai na insan baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.