na jaane kaun sa rishta hai mujhse nata hai
na jaane kaun sā rishta hai mujh se naatā hai
mirī ġhazal ko vo tanhā.iyoñ meñ gaatā hai
darīche maiñ ne muqaffal to kar liye lekin
vo ḳhushbuoñ kī tarah ghar meñ aatā jaatā hai
maiñ us ke vāste mushkil sā ik sabaq Thahrā
vo mujh ko yaad to kartā hai bhuul jaatā hai
vo ek lams ki ab tak na bhuul paayā maiñ
na jaane kaise kisī ko koī bhulātā hai
'nasīm' jis se ta.alluq thā chand lamhoñ kā
vo ban ke yād-e-guzishta mujhe satātā hai
na jaane kaun sa rishta hai mujh se nata hai
meri ghazal ko wo tanhaiyon mein gata hai
dariche main ne muqaffal to kar liye lekin
wo KHushbuon ki tarah ghar mein aata jata hai
main us ke waste mushkil sa ek sabaq Thahra
wo mujh ko yaad to karta hai bhul jata hai
wo ek lams ki ab tak na bhul paya main
na jaane kaise kisi ko koi bhulata hai
'nasim' jis se talluq tha chand lamhon ka
wo ban ke yaad-e-guzishta mujhe satata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.