na jaane kaun si uljhan rawan sine mein rahti hai
na jaane kaun sī uljhan ravāñ siine meñ rahtī hai
ba-har-lamha mire tār-e-nafas meñ gāñTh paḌtī hai
tire hone se the rang-e-tarab kyā-kyā nazāroñ meñ
magar ab shahr-e-dil meñ ḳhaak aur bas ḳhaak uḌtī hai
lagā letī hai siine se kisī kī nuqra.ī yādeñ
shab-e-tārīk merī yuuñ sitāra-yāb hotī hai
kahīñ gard-e-mah-o-anjum junūn-e-dil uḌātā hai
kahīñ mahmil meñ lailā-e-talab afsurda baiThī hai
karam ai ganj-e-ḳhūbī ik nazar kī bhiik to de de
ki ik muddat se ḳhālī ye mirā dast-e-savālī hai
na jaane kaun si uljhan rawan sine mein rahti hai
ba-har-lamha mere tar-e-nafas mein ganTh paDti hai
tere hone se the rang-e-tarab kya-kya nazaron mein
magar ab shahr-e-dil mein KHak aur bas KHak uDti hai
laga leti hai sine se kisi ki nuqrai yaaden
shab-e-tarik meri yun sitara-yab hoti hai
kahin gard-e-mah-o-anjum junun-e-dil uData hai
kahin mahmil mein laila-e-talab afsurda baiThi hai
karam ai ganj-e-KHubi ek nazar ki bhik to de de
ki ek muddat se KHali ye mera dast-e-sawali hai
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 74)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.