na jaane kis ke sahaare badan se lag gaya hai
na jaane kis ke sahāre badan se lag gayā hai
tumhārā rog hamāre badan se lag gayā hai
udāsiyoñ kā jo kiiḌā thā zehn tak mahdūd
zarā sī chuuk se saare badan se lag gayā hai
hameñ bhī milne lagī ehtiyāt kī ḳhūrāk
maraz miThās kā saare badan se lag gayā hai
jagah jagah pe ḳharāshoñ kī fasl ug aa.ī
dukhoñ kā dev bechāre badan se lag gayā hai
vo ḳhvāb jis kī huī parvarish mire hāthoñ
vo dūsroñ ke kuñvāre badan se lag gayā hai
pahan ke ghuum rahe ho udāsiyoñ kā libās
ye kaun hai jo tumhāre badan se lag gayā hai
na jaane kis ke sahaare badan se lag gaya hai
tumhaara rog hamare badan se lag gaya hai
udasiyon ka jo kiDa tha zehn tak mahdud
zara si chuk se sare badan se lag gaya hai
hamein bhi milne lagi ehtiyat ki KHurak
maraz miThas ka sare badan se lag gaya hai
jagah jagah pe KHarashon ki fasl ug aai
dukhon ka dew bechaare badan se lag gaya hai
wo KHwab jis ki hui parwarish mere hathon
wo dusron ke kunware badan se lag gaya hai
pahan ke ghum rahe ho udasiyon ka libas
ye kaun hai jo tumhaare badan se lag gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.