na jaane kitne fishaar jhele wafa mein parwaz-e-jaan se pahle
na jaane kitne fishār jhele vafā meñ parvāz-e-jāñ se pahle
ḳhudā kā qaa.il thā maiñ na hamdam azāb-e-ishq-e-butāñ se pahle
sabab yahī thā ki chaar tinke mirī umīdoñ kā gulsitāñ the
huī thī barq-o-sharar kī yūrish chaman meñ kab āshiyāñ se pahle
na sochā samjhā na dekhā bhālā hai kaun mushtāq kaun pyāsā
unhoñ ne taqsīm kī hai mai kī jahāñ se chāhā vahāñ se pahle
ye ham ne sochā thā haal apnā kabhī na un se bayāñ kareñge
magar pahuñchte hī chashm-e-tar ne sunā diyā sab zabāñ se pahle
udaas kaliyāñ fasurda ġhunche shikasta shāḳheñ ḳhamosh bulbul
kahāñ thī gulshan meñ dilkashī ye varūd-e-fasl-e-ḳhizāñ se pahle
sitam-kashoñ se kisī ne pūchhā sabab jo tārāji-e-chaman kā
uḌā ke ḳhaak āshiyāñ ke bole uThā thā sho.ala yahāñ se pahle
ye shauq-e-manzil kā thā karishma usī ne tāb-o-tavāñ atā kī
kahāñ to the kārvāñ ke pīchhe pahuñch ga.e kārvāñ se pahle
kahāñ kī manzil kahāñ kā jaada ye sab fareb-e-nazar thā 'nātiq'
khulīñ jo āñkheñ usī jagah the qadam uThā thā jahāñ se pahle
na jaane kitne fishaar jhele wafa mein parwaz-e-jaan se pahle
KHuda ka qail tha main na hamdam azab-e-ishq-e-butan se pahle
sabab yahi tha ki chaar tinke meri umidon ka gulsitan the
hui thi barq-o-sharar ki yurish chaman mein kab aashiyan se pahle
na socha samjha na dekha bhaala hai kaun mushtaq kaun pyasa
unhon ne taqsim ki hai mai ki jahan se chaha wahan se pahle
ye hum ne socha tha haal apna kabhi na un se bayan karenge
magar pahunchte hi chashm-e-tar ne suna diya sab zaban se pahle
udas kaliyan fasurda ghunche shikasta shaKHen KHamosh bulbul
kahan thi gulshan mein dilkashi ye warud-e-fasl-e-KHizan se pahle
sitam-kashon se kisi ne puchha sabab jo taraji-e-chaman ka
uDa ke KHak aashiyan ke bole uTha tha shoala yahan se pahle
ye shauq-e-manzil ka tha karishma usi ne tab-o-tawan ata ki
kahan to the karwan ke pichhe pahunch gae karwan se pahle
kahan ki manzil kahan ka jada ye sab fareb-e-nazar tha 'natiq'
khulin jo aankhen usi jagah the qadam uTha tha jahan se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.