na jaane kitni riwayaten munhadim huin hain
Interesting Fact
Monthly Adab-e-Lateef, February- March 2008
na jaane kitnī rivāyateñ munhadim huiiñ haiñ
bapā jahāñ bhī hai shor-e-mahshar khaḌā huā huuñ
ye kaisā manzar hai us ko kis zāviye se dekhūñ
ki ḳhud bhī is dā.ere ke andar khaḌā huā huuñ
ab is nazāre kī taab lā.ūñ to kaise lā.ūñ
vahī hai maidān vahī hai lashkar khaḌā huā huuñ
hazār tūfān-e-barq-o-bārāñ haiñ sāhiloñ par
liye hue ik shikasta lañgar khaḌā huā huuñ
na jaane kitni riwayaten munhadim huin hain
bapa jahan bhi hai shor-e-mahshar khaDa hua hun
ye kaisa manzar hai us ko kis zawiye se dekhun
ki KHud bhi is daere ke andar khaDa hua hun
ab is nazare ki tab laun to kaise laun
wahi hai maidan wahi hai lashkar khaDa hua hun
hazar tufan-e-barq-o-baran hain sahilon par
liye hue ek shikasta langar khaDa hua hun
- Book : Alami Urdu Adab, Jild 27 (Pg. 145 (e)146 )
- Author : October 2008
- Publication : Publishers and Advertisers, Krishn Nagar, Delhi, (Nand Kishor Vikram)
- Edition : Nand Kishor Vikram
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.