na jaane kya meri wahshat ne KHwab dekha hai
na jaane kyā mirī vahshat ne ḳhvāb dekhā hai
tamām shahr pe rātoñ kā saḳht pahrā hai
ḳhud aaj apnī lakīroñ meñ DhūñDhtā hai panāh
vo ek haath jo taqdīr ko badaltā hai
ma’īshatoñ ke jahannum meñ jal rahe haiñ badan
jahāñ meñ ruuh kī āsūdgī kā charchā hai
kisī ko sirf shagūfe kisī ko sirf sharar
na jaane ab ke bahāroñ kā faiz kaisā hai
nahīñ hai ham meñ sulaimāñ koī magar ham se
zamāna qaaf kī pariyoñ kī baat kartā hai
kuchh ab ke aur bhī zaḳhmoñ kī aag tez huī
'urūj' un ke tabassum meñ zahr kaisā hai
na jaane kya meri wahshat ne KHwab dekha hai
tamam shahr pe raaton ka saKHt pahra hai
KHud aaj apni lakiron mein DhunDhta hai panah
wo ek hath jo taqdir ko badalta hai
ma’ishaton ke jahannum mein jal rahe hain badan
jahan mein ruh ki aasudgi ka charcha hai
kisi ko sirf shagufe kisi ko sirf sharar
na jaane ab ke bahaaron ka faiz kaisa hai
nahin hai hum mein sulaiman koi magar hum se
zamana qaf ki pariyon ki baat karta hai
kuchh ab ke aur bhi zaKHmon ki aag tez hui
'uruj' un ke tabassum mein zahr kaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.