na jaane kya wo daraKHton se baat karte rahe
na jaane kyā vo daraḳhtoñ se baat karte rahe
ki Dāliyoñ kī lachak se parind Darte rahe
nuqūsh ubhre jo tārīkiyoñ ke dāman par
ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ aa aa ke vo bikharte rahe
tamām umr nichoḌā kiye ragoñ kā lahū
ki ham umīdoñ ke ḳhākoñ meñ rang bharte rahe
guloñ kī tarah rahe āñdhiyoñ ke narġhe meñ
tamām zindagī ham TūTte bikharte rahe
ajiib din thā ki sho.ale falak ugaltā rahā
lahūluhān parinde uḌaan bharte rahe
hameñ to kaafī thā shabnam kā ek qatra bhī
zamāne vaale piyāle lahū ke bharte rahe
na jaane kya wo daraKHton se baat karte rahe
ki Daliyon ki lachak se parind Darte rahe
nuqush ubhre jo tarikiyon ke daman par
KHayal-o-KHwab mein aa aa ke wo bikharte rahe
tamam umr nichoDa kiye ragon ka lahu
ki hum umidon ke KHakon mein rang bharte rahe
gulon ki tarah rahe aandhiyon ke narghe mein
tamam zindagi hum TuTte bikharte rahe
ajib din tha ki shoale falak ugalta raha
lahuluhan parinde uDan bharte rahe
hamein to kafi tha shabnam ka ek qatra bhi
zamane wale piyale lahu ke bharte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.