na jaane kyon wahi jina haram karte hain
na jaane kyoñ vahī jiinā harām karte haiñ
ki jin kā dil se bahut ehtirām karte haiñ
tumhārā zikr kisī baat meñ agar aa.e
ham haath joḌ ke qissa tamām karte haiñ
hameñ hai is liye urdu zabān se ulfat
ham is zabān meñ rab se kalām karte haiñ
hamārā martaba sahrā-e-ishq meñ ye hai
janāb-e-qais bhī jhuk kar salām karte haiñ
ka.ī haiñ log jo jiite haiñ kaam kī ḳhātir
ka.ī haiñ log jo jiine ko kaam karte haiñ
ḳhudā gavāh hai pastī meñ rahne vāloñ par
baḌā hī zulm ye ālī-maqām karte haiñ
'razā' vo ġham bhī hameñ Thiik se nahīñ detā
ham apnī saarī ḳhushī jis ke naam karte haiñ
na jaane kyon wahi jina haram karte hain
ki jin ka dil se bahut ehtiram karte hain
tumhaara zikr kisi baat mein agar aae
hum hath joD ke qissa tamam karte hain
hamein hai is liye urdu zaban se ulfat
hum is zaban mein rab se kalam karte hain
hamara martaba sahra-e-ishq mein ye hai
janab-e-qais bhi jhuk kar salam karte hain
kai hain log jo jite hain kaam ki KHatir
kai hain log jo jine ko kaam karte hain
KHuda gawah hai pasti mein rahne walon par
baDa hi zulm ye aali-maqam karte hain
'raza' wo gham bhi hamein Thik se nahin deta
hum apni sari KHushi jis ke nam karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.