Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na jaane rauzan-e-diwar kya jadu jagata hai

Syed Amin Ashraf

na jaane rauzan-e-diwar kya jadu jagata hai

Syed Amin Ashraf

MORE BYSyed Amin Ashraf

    na jaane rauzan-e-dīvār kyā jaadū jagātā hai

    talattuf se sañbhaltā hai qadam Dagmagātā hai

    ye tamhīd-e-nigāh-e-shauq hai do-ātisha ai dil

    is 'ālam meñ ik 'ālam aur ā.īna dikhātā hai

    kahāñ 'ishq lekin ye mujhe mahsūs hotā hai

    ki merā haath dosh-e-nāznīñ par thartharātā hai

    kahāñ pahle thā ye mausam hai sab tarz-e-ḳhirām us

    havāoñ meñ gulābī baaġh meñ ḳhushbū uḌātā hai

    mizājoñ ham-āhañgī bhī aksar shaaq hotī hai

    ugaltī haiñ mashīneñ aag sūraj muskurātā hai

    tuyūr-e-zamzama-pardāz pahchān hotī hai

    vo taa.ir kyā jo āvāzoñ se āvāzeñ milātā hai

    usī par jaan dete haiñ jise be-mehr kahte haiñ

    jo ham ko bhuul jaatā hai vo aksar yaad aatā hai

    na jaane rauzan-e-diwar kya jadu jagata hai

    talattuf se sanbhalta hai qadam ya Dagmagata hai

    ye tamhid-e-nigah-e-shauq hai do-atisha ai dil

    is 'alam mein ek 'alam aur aaina dikhata hai

    kahan ka 'ishq lekin ye mujhe mahsus hota hai

    ki mera hath dosh-e-naznin par thartharaata hai

    kahan pahle tha ye mausam hai sab tarz-e-KHiram us ka

    hawaon mein gulabi bagh mein KHushbu uData hai

    mizajon ki ham-ahangi bhi aksar shaq hoti hai

    ugalti hain mashinen aag suraj muskuraata hai

    tuyur-e-zamzama-pardaz ki pahchan hoti hai

    wo tair kya jo aawazon se aawazen milata hai

    usi par jaan dete hain jise be-mehr kahte hain

    jo hum ko bhul jata hai wo aksar yaad aata hai

    Source :
    • Book : Bahar-e-ejaad (Pg. 94)
    • Author : Syed Amin Ashraf
    • Publication : Urdu Monthly Shabkhoon Rani Mandi Allahabad (2007)
    • Edition : 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now