na-jaane TuT ke kab se bikhar raha hun main
na-jāne TuuT ke kab se bikhar rahā huuñ maiñ
ki apnī zaat kā ḳhud ek sāneha huuñ maiñ
mire lahū kī zarūrat hai tere hāthoñ ko
isī tasavvur-e-rañgīñ se jī rahā huuñ maiñ
musībateñ to haiñ apnī shumār se bāhar
ki hādsāt meñ har lahza mubtalā huuñ maiñ
na-jāne kaisā safar hai ki kuchh pata hī nahīñ
chalā kahāñ se kahāñ aa ke ruk gayā huuñ maiñ
na yaad aa.e koī aur na de koī āvāz
nikal ke yādoñ kī bastī se aa gayā huuñ maiñ
anā ko toḌ ke aa jā.ūñ tere paas magar
tirā irāda na ab tak samajh sakā huuñ maiñ
phir aaj sahme hue lamhe yaad aane lage
hisār-e-dard meñ 'ḳhurshīd' ghir gayā huuñ maiñ
na-jaane TuT ke kab se bikhar raha hun main
ki apni zat ka KHud ek saneha hun main
mere lahu ki zarurat hai tere hathon ko
isi tasawwur-e-rangin se ji raha hun main
musibaten to hain apni shumar se bahar
ki hadsat mein har lahza mubtala hun main
na-jaane kaisa safar hai ki kuchh pata hi nahin
chala kahan se kahan aa ke ruk gaya hun main
na yaad aae koi aur na de koi aawaz
nikal ke yaadon ki basti se aa gaya hun main
ana ko toD ke aa jaun tere pas magar
tera irada na ab tak samajh saka hun main
phir aaj sahme hue lamhe yaad aane lage
hisar-e-dard mein 'KHurshid' ghir gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.