na jaane wade ka kyon eatibar ab bhi hai
na jaane va.ade kā kyoñ e.atibār ab bhī hai
guzar ga.ī hai shab aur intizār ab bhī hai
kaho to kahne ko kah deñ ki shaad hai duniyā
jo be-qarār thā vo be-qarār ab bhī hai
ġharaz ke dost the jitne vo uTh ga.e lekin
tumhāre dar pe yahī jāñ-nisār ab bhī hai
ḳhizāñ hai yā koī rūThī huī bahār hai ye
nahīñ jo gul to gulistāñ meñ ḳhaar ab bhī hai
idhar to jāma-darī kar rahe haiñ dīvāne
udhar vo kahte haiñ dāman meñ taar ab bhī hai
hamārī ḳhaak abhī tak hai kū-e-jānāñ meñ
mazār go nahīñ lekin ġhubār ab bhī hai
ḳhizāñ ḳhizāñ hai bahāroñ meñ bhī sukūn nahīñ
jo ḳhaar thā mire dil meñ vo ḳhaar ab bhī hai
bahār jaate hī go sab badal ga.e naqshe
mirī nazar meñ vo jān-e-bahār ab bhī hai
ye kah rahe haiñ zamāne ke dekhne vaale
diloñ meñ jaisā thā pahle ġhubār ab bhī hai
badal gayā ho zamāna hameñ nahīñ ma.alūm
vo thā shi.ār jo apnā shi.ār ab bhī hai
na jaane wade ka kyon eatibar ab bhi hai
guzar gai hai shab aur intizar ab bhi hai
kaho to kahne ko kah den ki shad hai duniya
jo be-qarar tha wo be-qarar ab bhi hai
gharaz ke dost the jitne wo uTh gae lekin
tumhaare dar pe yahi jaan-nisar ab bhi hai
KHizan hai ya koi ruThi hui bahaar hai ye
nahin jo gul to gulistan mein KHar ab bhi hai
idhar to jama-dari kar rahe hain diwane
udhar wo kahte hain daman mein tar ab bhi hai
hamari KHak abhi tak hai ku-e-jaanan mein
mazar go nahin lekin ghubar ab bhi hai
KHizan KHizan hai bahaaron mein bhi sukun nahin
jo KHar tha mere dil mein wo KHar ab bhi hai
bahaar jate hi go sab badal gae naqshe
meri nazar mein wo jaan-e-bahaar ab bhi hai
ye kah rahe hain zamane ke dekhne wale
dilon mein jaisa tha pahle ghubar ab bhi hai
badal gaya ho zamana hamein nahin malum
wo tha shiar jo apna shiar ab bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.