na jaane ye kaisi hawa ho gai hai
na jaane ye kaisī havā ho ga.ī hai
bujhā ke charāġhoñ ko vo so ga.ī hai
nadī jo bahut boltī thī hamesha
samundar meñ gir ke vo chup ho ga.ī hai
haañ thī ḳhūbsūrat balā kī magar vo
kahāñ jaane us kī hañsī kho ga.ī hai
hameñ raat dekhe hai majbūr ho ke
rulāne ko aa.ī thī ḳhud ro ga.ī hai
galī thī usī dil mohalle meñ merī
yahāñ ik imārat khaḌī ho ga.ī hai
duā dī thī us ne jo lambī umr kī
suno vo duā bad-duā ho ga.ī hai
haqīqat kī duniyā baḌī be-rahm hai
vo lauTegī laḌkī abhī jo ga.ī hai
haañ rakhā thā likh ke jo kahnā thā us se
bahār ab ke aa.ī to sab dho ga.ī hai
merī raah meñ phuul hī phuul haiñ ab
use bone kāñTe the kyā bo ga.ī hai
na.ī ik ġhazal likh ke laayā to thā maiñ
yahīñ to rakhī thī kahāñ kho ga.ī hai
na jaane ye kaisi hawa ho gai hai
bujha ke charaghon ko wo so gai hai
nadi jo bahut bolti thi hamesha
samundar mein gir ke wo chup ho gai hai
han thi KHubsurat bala ki magar wo
kahan jaane us ki hansi kho gai hai
hamein raat dekhe hai majbur ho ke
rulane ko aai thi KHud ro gai hai
gali thi usi dil mohalle mein meri
yahan ek imarat khaDi ho gai hai
dua di thi us ne jo lambi umr ki
suno wo dua bad-dua ho gai hai
haqiqat ki duniya baDi be-rahm hai
wo lauTegi laDki abhi jo gai hai
han rakha tha likh ke jo kahna tha us se
bahaar ab ke aai to sab dho gai hai
meri rah mein phul hi phul hain ab
use bone kanTe the kya bo gai hai
nai ek ghazal likh ke laya to tha main
yahin to rakhi thi kahan kho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.