na jaane zom tha ki wahm tha ki ghaflat thi
na jaane zo'm thā ki vahm thā ki ġhaflat thī
mujhe lagā thā ki mujh se use mohabbat thī
use sukūn thā āsūdgī thī farhat thī
mujhe junūn thā āvārgī thī vahshat thī
ḳhudā se māñgnā hotā to maañg letā magar
vo jab milī to kisī aur kī amānat thī
mujhe ye izn kahāñ thā ki dar pe dastak duuñ
use pukārūñ kab is kī mujhe ijāzat thī
na ashk the na tabassum na be-qarārī na sabr
'ajīb vaqt thā tāḳhīr thī na 'ujlat thī
na jaane zo'm tha ki wahm tha ki ghaflat thi
mujhe laga tha ki mujh se use mohabbat thi
use sukun tha aasudgi thi farhat thi
mujhe junun tha aawargi thi wahshat thi
KHuda se mangna hota to mang leta magar
wo jab mili to kisi aur ki amanat thi
mujhe ye izn kahan tha ki dar pe dastak dun
use pukarun kab is ki mujhe ijazat thi
na ashk the na tabassum na be-qarari na sabr
'ajib waqt tha taKHir thi na 'ujlat thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.