na jaanta hun ki kya kya hain KHamiyan meri
na jāntā huuñ ki kyā kyā haiñ ḳhāmiyāñ merī
samajh rahā huuñ ki duniyā hai qadr-dāñ merī
na niklī aah laboñ se na aañkh se aañsū
kabhī 'ayāñ na huī sozish-e-nihāñ merī
abhī chhalakne lage un kī aañkh se aañsū
abhī kahī na ga.ī mujh se dāstāñ merī
bahāl-e-taish kisī ko burā-bhalā na kahūñ
ḳhudā kare mire qaabū meñ ho zabāñ merī
ho lā-javāb agar tum to be-misāl huuñ maiñ
sitam sitam hai tumhārā fuġhāñ fuġhāñ merī
ḳhudā kī den hai sab kuchh vo chāhe jab le le
na ghar mirā hai na daulat mirī na jaañ merī
koī sune na sune is se kyā ġharaz mujh ko
ye chāhtā huuñ sune ḳhāliq-e-jahāñ merī
mujhe na Dar hai dikhāyā kare falak āñkheñ
agarche piir huuñ himmat abhī javāñ merī
yahāñ kabhī na banī hai kisī kī ai 'bartar'
kaTegī chain se kyā zer-e-āsmāñ merī
na jaanta hun ki kya kya hain KHamiyan meri
samajh raha hun ki duniya hai qadr-dan meri
na nikli aah labon se na aankh se aansu
kabhi 'ayan na hui sozish-e-nihan meri
abhi chhalakne lage un ki aankh se aansu
abhi kahi na gai mujh se dastan meri
bahaal-e-taish kisi ko bura-bhala na kahun
KHuda kare mere qabu mein ho zaban meri
ho la-jawab agar tum to be-misal hun main
sitam sitam hai tumhaara fughan fughan meri
KHuda ki den hai sab kuchh wo chahe jab le le
na ghar mera hai na daulat meri na jaan meri
koi sune na sune is se kya gharaz mujh ko
ye chahta hun sune KHaliq-e-jahan meri
mujhe na Dar hai dikhaya kare falak aankhen
agarche pir hun himmat abhi jawan meri
yahan kabhi na bani hai kisi ki ai 'bartar'
kaTegi chain se kya zer-e-asman meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.