na jafa tumko na mujhko hi wafa aati hai
na jafa tumko na mujhko hi wafa aati hai
Munshi Banwari Lal Shola
MORE BYMunshi Banwari Lal Shola
na jafā tum ko na mujh ko hī vafā aatī hai
dekhiye sharm kise roz-e-jazā aatī hai
bahr-e-sargoshī-e-bedād balā aatī hai
kaan ke paas tirī zulf-e-dotā aatī hai
bekasī bā.is-e-sharmindagī-e-marg huī
gor ko bhī mire lene meñ hayā aatī hai
khīñche hai nāqa-e-lailā ko sū-e-najd koī
sārbāñ nāla-e-majnūñ kī sadā aatī hai
sard-mehrī se tirī dāġh-e-jigar sabz hue
rauzan-e-sīna se kuchh ThanDī havā aatī hai
haa.e vo girya-e-ḳhāmosh se bhī garm hue
ashk-e-ġhammāz ko kyā aag lagā aatī hai
kis ke talvoñ se tasavvur meñ milī thiiñ āñkheñ
ashk-e-ḳhūñ-bār se kuchh bū-e-hinā aatī hai
haath jab siine ke nāsūr se apnā sarkā
dil-e-bīmār pukārā ki havā aatī hai
'sho.ala' hai ulfat-e-duniyā to faqat tā-dam-e-marg
zindagī yaad kise ba.ad-e-fanā aatī hai
na jafa tum ko na mujh ko hi wafa aati hai
dekhiye sharm kise roz-e-jaza aati hai
bahr-e-sargoshi-e-bedad bala aati hai
kan ke pas teri zulf-e-dota aati hai
bekasi bais-e-sharmindagi-e-marg hui
gor ko bhi mere lene mein haya aati hai
khinche hai naqa-e-laila ko su-e-najd koi
sarban nala-e-majnun ki sada aati hai
sard-mehri se teri dagh-e-jigar sabz hue
rauzan-e-sina se kuchh ThanDi hawa aati hai
hae wo girya-e-KHamosh se bhi garm hue
ashk-e-ghammaz ko kya aag laga aati hai
kis ke talwon se tasawwur mein mili thin aankhen
ashk-e-KHun-bar se kuchh bu-e-hina aati hai
hath jab sine ke nasur se apna sarka
dil-e-bimar pukara ki hawa aati hai
'shoala' hai ulfat-e-duniya to faqat ta-dam-e-marg
zindagi yaad kise baad-e-fana aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.