na jalwon ki kasrat mein bahken nigahen
na jalvoñ kī kasrat meñ bahkeñ nigāheñ
ki haiñ har qadam par tirī jalva-gāheñ
paḌīñ jab se dil par tumhārī nigāheñ
khulīñ zindagī kī na.ī shāh-rāheñ
is andāz se vo chhupe jā rahe haiñ
magar aur kuchh kah rahī haiñ nigāheñ
ye dil thā ki aahoñ pe itrā rahā thā
hañsī meñ uḌā le gayā koī aaheñ
na aas apne bas meñ na yaas apne bas meñ
vo aanā bhī chāheñ na aanā bhī chāheñ
'zahīn' apne hast-o-‘adam se ye pūchheñ
agar haiñ to kyā haiñ nahīñ haiñ to kyā haiñ
na jalwon ki kasrat mein bahken nigahen
ki hain har qadam par teri jalwa-gahen
paDin jab se dil par tumhaari nigahen
khulin zindagi ki nai shah-rahen
is andaz se wo chhupe ja rahe hain
magar aur kuchh kah rahi hain nigahen
ye dil tha ki aahon pe itra raha tha
hansi mein uDa le gaya koi aahen
na aas apne bas mein na yas apne bas mein
wo aana bhi chahen na aana bhi chahen
'zahin' apne hast-o-‘adam se ye puchhen
agar hain to kya hain nahin hain to kya hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.