na jazb-e-shauq kaam aaya na soz-e-ishq kaam aaya
na jazb-e-shauq kaam aaya na soz-e-ishq kaam aaya
Manzoor Hasan Nami
MORE BYManzoor Hasan Nami
na jazb-e-shauq kaam aaya na soz-e-ishq kaam aaya
ishāre se usī ke chāhne vāloñ meñ naam aaya
kise tāb-e-nazar thī diid kā jab hukm-e-ām aaya
hazāroñ bijliyāñ kauñdīñ vo jab bālā-e-bām aaya
mirī taqdīr kī tārīkiyāñ jab baḌh ga.iiñ had se
siyah-ḳhāne meñ mere aap vo māh-e-tamām aaya
huā ehsās ruḳhsat intihā-e-yās-o-hirmāñ meñ
hameñ kyā ab agar us kā payām aaya salām aaya
muqaddar kī tahī-dastī ne badlā rang-e-mahfil ko
huī miinā tahī jis vaqt mujh tak daur-e-jām aaya
jahāñ bhaTkī huī ḳhud rāhbar kī rahbarī niklī
bil-āḳhir ek rāh-e-ishq meñ aisā maqām aaya
tabāhī to usī din kā.enāt-e-ishq meñ aa.ī
liye jab husn lākhoñ mahsharoñ kā ehtimām aaya
nigāh-e-dil se maiñ ne husn ko ik baar dekhā thā
ki lene ishq mujh se zindagī kā intiqām aaya
nasīb-e-ishq the dār-o-rasan ai husn albatta
ye kis ke sar rahā ilzām kis par ittihām aaya
hai 'nāmī' dīdanī us kī sahar kī hashr-sāmānī
balā.eñ ban ke jis kambaḳht par har-vaqt-e-shām aaya
na jazb-e-shauq kaam aaya na soz-e-ishq kaam aaya
ishaare se usi ke chahne walon mein nam aaya
kise tab-e-nazar thi did ka jab hukm-e-am aaya
hazaron bijliyan kaundin wo jab baala-e-baam aaya
meri taqdir ki tarikiyan jab baDh gain had se
siyah-KHane mein mere aap wo mah-e-tamam aaya
hua ehsas ruKHsat intiha-e-yas-o-hirman mein
hamein kya ab agar us ka payam aaya salam aaya
muqaddar ki tahi-dasti ne badla rang-e-mahfil ko
hui mina tahi jis waqt mujh tak daur-e-jam aaya
jahan bhaTki hui KHud rahbar ki rahbari nikli
bil-aKHir ek rah-e-ishq mein aisa maqam aaya
tabahi to usi din kaenat-e-ishq mein aai
liye jab husn lakhon mahsharon ka ehtimam aaya
nigah-e-dil se main ne husn ko ek bar dekha tha
ki lene ishq mujh se zindagi ka intiqam aaya
nasib-e-ishq the dar-o-rasan ai husn albatta
ye kis ke sar raha ilzam kis par ittiham aaya
hai 'nami' didani us ki sahar ki hashr-samani
balaen ban ke jis kambaKHt par har-waqt-e-sham aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.