na kaam aai mere kuchh meri sharafat bhi
na kaam aa.ī mire kuchh mirī sharāfat bhī
mire ḳhilāf huī us ke saath ḳhilqat bhī
vo shaḳhs yuuñ thā ki jaise dhulā-dhulāyā huā
thī ḳhatm us pe har ik tarah kī nafāsat bhī
vo jāma-zeb thā itnā ki takte hī rahiye
ye dil to chāhtā thā mustaqil rafāqat bhī
bilā-sabab na thā us meñ vafūr-e-ḳhud-bīnī
ġhurūr-e-husn ke ham-rāh thī nazākat bhī
thā us kā chehra-e-zebā ki māh-pāra koī
sukūn-baḳhsh thī us kī mujhe tamāzat bhī
barat na saktā thā khul kar vo iltifāt magar
thī us kī chashm-e-fusūñ-sāz meñ muravvat bhī
maiñ us ke sāmne gum-sum rahā suḳhan-basta
na kar sakā kabhī arz-e-hunar kī jur.at bhī
maiñ kār-gāh-e-jahāñ meñ azal se huuñ tanhā
na raas aa.ī mujhe mahvashoñ kī qurbat bhī
hujūm-e-shauq meñ yuuñ bhī huā ki maiñ 'nāsir'
havās gum kiye bhūle rahā zehānat bhī
na kaam aai mere kuchh meri sharafat bhi
mere KHilaf hui us ke sath KHilqat bhi
wo shaKHs yun tha ki jaise dhula-dhulaya hua
thi KHatm us pe har ek tarah ki nafasat bhi
wo jama-zeb tha itna ki takte hi rahiye
ye dil to chahta tha mustaqil rafaqat bhi
bila-sabab na tha us mein wafur-e-KHud-bini
ghurur-e-husn ke ham-rah thi nazakat bhi
tha us ka chehra-e-zeba ki mah-para koi
sukun-baKHsh thi us ki mujhe tamazat bhi
barat na sakta tha khul kar wo iltifat magar
thi us ki chashm-e-fusun-saz mein murawwat bhi
main us ke samne gum-sum raha suKHan-basta
na kar saka kabhi arz-e-hunar ki jurat bhi
main kar-gah-e-jahan mein azal se hun tanha
na ras aai mujhe mahwashon ki qurbat bhi
hujum-e-shauq mein yun bhi hua ki main 'nasir'
hawas gum kiye bhule raha zehanat bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.