na kaam fikr se nikla na chal saki tadbir
na kaam fikr se niklā na chal sakī tadbīr
kisī tarah se na badlī phirī huī taqdīr
zamīr-e-dahr se andesha-e-ḳhizāñ na gayā
bahār meñ bhī zamāna hai dard kī tasvīr
ta.ayyunāt meñ uljhī huī hai fikr-e-hayāt
mire zavāl kī tamhīd hai mirī ta.amīr
ab e'tirāf-e-ḳhatā par na is nigāh se dekh
ki ho na jaa.e kahīñ mujh se phir koī taqsīr
zabān-e-ām meñ kahte haiñ kā.enāt jise
haqīqat-e-ġham-e-dil kī hai muḳhtasar tafsīr
nahīñ ḳhudā kī zamīñ tañg ai chaman vaalo
kareñge aur kahīñ ham ab āshiyāñ ta.amīr
zamāna 'hosh' badalne ko hai na.ī karvaT
bujhe paḌe haiñ bahut din se qalb-o-rūh-o-zamīr
na kaam fikr se nikla na chal saki tadbir
kisi tarah se na badli phiri hui taqdir
zamir-e-dahr se andesha-e-KHizan na gaya
bahaar mein bhi zamana hai dard ki taswir
tayyunat mein uljhi hui hai fikr-e-hayat
mere zawal ki tamhid hai meri tamir
ab e'tiraf-e-KHata par na is nigah se dekh
ki ho na jae kahin mujh se phir koi taqsir
zaban-e-am mein kahte hain kaenat jise
haqiqat-e-gham-e-dil ki hai muKHtasar tafsir
nahin KHuda ki zamin tang ai chaman walo
karenge aur kahin hum ab aashiyan tamir
zamana 'hosh' badalne ko hai nai karwaT
bujhe paDe hain bahut din se qalb-o-ruh-o-zamir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.