na kabhi koi KHat aaya na payam-e-yar aaya
na kabhi koi KHat aaya na payam-e-yar aaya
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
MORE BYSyed Yusuf Ali Khan Nazim
na kabhī koī ḳhat aayā na payām-e-yār aayā
magar ik javāb ulTā ki hazār baar aayā
mujhe garche apne dar se vo fareb de ke Tāleñ
ye ḳhushī bhī kam nahīñ hai ki umīd-vār aayā
nahīñ dil pe zor chaltā ye yaqīñ hai sab ko nāseh
tujhe kyā zabāñ par apnī nahīñ iḳhtiyār aayā
na ḳhudā ko jānte ho na nabī ko mānte ho
bas uTho qasam na khaao mujhe e'tibār aayā
tire ghar vo aa.e 'nāzim' to ye iztirāb kyā hai
koī bādshāh aayā koī shahryār aayā
na kabhi koi KHat aaya na payam-e-yar aaya
magar ek jawab ulTa ki hazar bar aaya
mujhe garche apne dar se wo fareb de ke Talen
ye KHushi bhi kam nahin hai ki umid-war aaya
nahin dil pe zor chalta ye yaqin hai sab ko naseh
tujhe kya zaban par apni nahin iKHtiyar aaya
na KHuda ko jaante ho na nabi ko mante ho
bas uTho qasam na khao mujhe e'tibar aaya
tere ghar wo aae 'nazim' to ye iztirab kya hai
koi baadshah aaya koi shahryar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.