na kamal hun na jamal hun tujhe ilm ho ki na ilm ho
na kamal hun na jamal hun tujhe ilm ho ki na ilm ho
Iftikhar Ahmad Alvi Kakori
MORE BYIftikhar Ahmad Alvi Kakori
na kamāl huuñ na jamāl huuñ tujhe 'ilm ho ki na 'ilm ho
tirī mahviyat kā ma.aal huuñ tujhe 'ilm ho ki na 'ilm ho
tujhe kyoñ malāl-e-'urūj hai mirī azmatoñ se hai ḳhauf kyā
tirā 'aks-e-māzī-o-hāl huuñ tujhe 'ilm ho ki na 'ilm ho
sitam-āshnā rahā 'umr-bhar jo qalam kī zad meñ na aa sakā
vo javāb-e-daur-e-zavāl huuñ tujhe 'ilm ho ki na 'ilm ho
mire dam se haiñ tirī shohrateñ tirā husn mujh se hai jalva-gar
maiñ razā-e-rabb-e-jalāl huuñ tujhe 'ilm ho ki na 'ilm ho
tirā lutf shāhid-e-lam-yazal tirī zaat vaj.h-e-sukūn-e-dil
maiñ asīr-e-lutf-e-jamāl huuñ tujhe 'ilm ho ki na 'ilm ho
tū savād-e-ġham na samajh ise ki vaqār terā isī se hai
ruḳh-e-gul pe dāna-e-ḳhāl huuñ tujhe 'ilm ho ki na 'ilm ho
jo shikār-e-daur-e-ḳhizāñ rahī jise baḳht bhī na uThā sakā
vo burīda shāḳh-e-nihāl huuñ tujhe 'ilm ho ki na 'ilm ho
'alavī' shu'ūr kī daad de tū na pā sakā mirī gard bhī
maiñ sarāpā husn-e-ḳhayāl huuñ tujhe 'ilm ho ki na 'ilm ho
na kamal hun na jamal hun tujhe 'ilm ho ki na 'ilm ho
teri mahwiyat ka maal hun tujhe 'ilm ho ki na 'ilm ho
tujhe kyon malal-e-'uruj hai meri azmaton se hai KHauf kya
tera 'aks-e-mazi-o-haal hun tujhe 'ilm ho ki na 'ilm ho
sitam-ashna raha 'umr-bhar jo qalam ki zad mein na aa saka
wo jawab-e-daur-e-zawal hun tujhe 'ilm ho ki na 'ilm ho
mere dam se hain teri shohraten tera husn mujh se hai jalwa-gar
main raza-e-rabb-e-jalal hun tujhe 'ilm ho ki na 'ilm ho
tera lutf shahid-e-lam-yazal teri zat wajh-e-sukun-e-dil
main asir-e-lutf-e-jamal hun tujhe 'ilm ho ki na 'ilm ho
tu sawad-e-gham na samajh ise ki waqar tera isi se hai
ruKH-e-gul pe dana-e-KHal hun tujhe 'ilm ho ki na 'ilm ho
jo shikar-e-daur-e-KHizan rahi jise baKHt bhi na uTha saka
wo burida shaKH-e-nihaal hun tujhe 'ilm ho ki na 'ilm ho
'alawi' shu'ur ki dad de tu na pa saka meri gard bhi
main sarapa husn-e-KHayal hun tujhe 'ilm ho ki na 'ilm ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.