na kami koi tere naz mein na kami hai zauq-e-niyaz mein
na kami koi tere naz mein na kami hai zauq-e-niyaz mein
Khalid Fatehpuri
MORE BYKhalid Fatehpuri
na kamī koī tire naaz meñ na kamī hai zauq-e-niyāz meñ
to vafā.eñ merī hī pesh kar mire ḳhūn-e-dil ke javāz meñ
mirī ḳhaak meñ tirī saañs hai tirī raushnī mire paas hai
mujhe dil diyā sanam-āshnā mirā sar jhukā hai namāz meñ
kabhī ḳhat ko tere chhupā liyā kabhī ashk aa.e to pī liye
mirī zindagī to guzar ga.ī isī parda-dārī-e-rāz meñ
kisī ġhaznavī ke nasīb meñ kahāñ vo urūj-e-niyāz thā
ka.ī ġhaznavī the juḌe hue isī ik libās-e-ayāz meñ
haiñ tire sivā bhī bahut hasīñ mujhe to nazar se girā nahīñ
usī āsmān ke saa.e meñ usī ḳhāk-dān-e-majāz meñ
na yuuñ faḳhr kar na yuuñ sar uThā ki ye sach hai 'ḳhālid'-e-be-navā
tū ye soch le tū ye jaan le ki nasheb bhī haiñ farāz meñ
na kami koi tere naz mein na kami hai zauq-e-niyaz mein
to wafaen meri hi pesh kar mere KHun-e-dil ke jawaz mein
meri KHak mein teri sans hai teri raushni mere pas hai
mujhe dil diya sanam-ashna mera sar jhuka hai namaz mein
kabhi KHat ko tere chhupa liya kabhi ashk aae to pi liye
meri zindagi to guzar gai isi parda-dari-e-raaz mein
kisi ghaznawi ke nasib mein kahan wo uruj-e-niyaz tha
kai ghaznawi the juDe hue isi ek libas-e-ayaz mein
hain tere siwa bhi bahut hasin mujhe to nazar se gira nahin
usi aasman ke sae mein usi KHak-dan-e-majaz mein
na yun faKHr kar na yun sar uTha ki ye sach hai 'KHalid'-e-be-nawa
tu ye soch le tu ye jaan le ki nasheb bhi hain faraaz mein
- Book : Sitaron Mein Chamak Baqi Hai (Pg. 39)
- Author : Khalid Fatehpuri
- Publication : Khalid Fatehpuri (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.