na kar dil ko daghi gul-e-arzu ka
na kar dil ko dāġhī gul-e-ārzū kā
phire hai kahāñ maan kahnā kisū kā
hameñ bhī dikhā de ilāhī koī yaañ
parī-zād bedād sho.ala bhabūkā
rahā dāman-e-gul pe nit ḳhūn-e-bulbul
salīqa hai shabnam ko kyā shust-o-shū kā
unheñ nā-kasoñ se bahut kam hai sohbat
jinheñ jūñ-guhar paas hai aabrū kā
khulī aañkh gul kī to kyā us ne dekhā
nipaT tang arsa hai yaañ rang-o-bū kā
kabhī kaam aisā na ham se huā yaañ
jise dekh bolā na ho koī chūkā
baġhal meñ use chhoḌ phirtā hai dar-dar
divānā huuñ 'fidvī' tirī justujū kā
na kar dil ko daghi gul-e-arzu ka
phire hai kahan man kahna kisu ka
hamein bhi dikha de ilahi koi yan
pari-zad bedad shoala bhabuka
raha daman-e-gul pe nit KHun-e-bulbul
saliqa hai shabnam ko kya shust-o-shu ka
unhen na-kason se bahut kam hai sohbat
jinhen jun-guhar pas hai aabru ka
khuli aankh gul ki to kya us ne dekha
nipaT tang arsa hai yan rang-o-bu ka
kabhi kaam aisa na hum se hua yan
jise dekh bola na ho koi chuka
baghal mein use chhoD phirta hai dar-dar
diwana hun 'fidwi' teri justuju ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.